‘’Magrib se Mashrik ki taraf jaate hue”
-----Anshumanchaturvedi20@
Ek simti huee jaban ke
Kuch lafz hain ye
Jinpe lagaam hatao
To door tak chalte chale jaate hain
Lagaam lagao
To ankahe udaas baithe rahte hain.
#
Iski chaasni meethi ho
To tinke ka Zakhm bhi
Zarron(bits) se nikal ke ….
Darakhton(trees) pe ja baithta hai
Aur agar chaasni feeki hai
To kaduahat
Zaaikon(taste) pe zaher boti hai
#
Yeh jabaan
Sirf zabaan nahi hai
Ek simti huee hasrat hai
Tum iske hunermand(master) ho
To duniya ke maalik ho..
Dilon pe raaj karo na
Unke tukdon ki baat kyon karte ho
#
Yeh tumhari jabaan hi thi
Jisne kal ek toofaan khada kar diya
Itna bada toofaan,
Jiske wapas jaane tak
Kai ghar ujad gaye
Zindgiyan tabaah huee
Kaarobaar thapp huey
Aur ek aankde mein
kuch machuaare aur Machliyan mare gaye.
#
Tumhari ek jabaan tab thi
Jab chup thi
Par uski khanak kaano mein thi
Tumhare bina kuch kahe
Kai filmein maine dekhi hain
Jahan chehre doosre the
Par aawaz tumhari thi
Har ek dhun pe
Har ek lafz pe
Tumhari jabaan ka jaayka
Tehra hua hai
Aur jehan mein zinda kiya
Unhe jas ka tas baitha hun
#
Ek Chhoti si fikr hai…
Jo khaye ja rahi hai.
Kal tumhare kuch lafzon ko maine
Mashrik(east) se Magrib(west) ki taraf jaate dekha hai
Wo ek simti huee jabaan ke wo lafz the
Jo lagaam ke,
wazood ko nahi maante hain.
Aur tum to jaante ho
Jo belagaam hote hain
Wo be-mijaz ho jaate hain.
Aur bemijazi
Jabaan ka nahi
Insaan ka taaruf(introduction) hai.
#
Kal tumhari simti jabaan ne
Tumse nahi
Mujhse aake kaha
Uske lafz abhi tak wapas nahi laute hain.
Use darr hai
Kahin koi khoon na kar dein!!!!
Raat thi.
Udaas thi.
Aur main iss baar
Ek lambe arse baad
Magrib se mashrik ki taraf wapas laut raha tha.
Mere paas khabar thi
Jo maine tumhari jabaan ko nahi di
Bina tumhari ijazat ke.
Jo ab main tumhe de raha hun.
sachmuch tumhare lafzon ne
Magrib ki tarf..
Katle-aam kiya hai.
#
Main jaanta hun
Tumhari simti jabaan ki tarah
Mera wazood bhi simta hua hai.
Ek darakht ke neeche
Adna sa insaan dikhta hun.
Par usi insaaniyat ke naate..
Bheegi aankhon se
Us kabr ko mitti de raha hun…
Jo tumhare lafzon ne
Beeti raat…
Magrib ki taraf khodi hai.
#
Main tumhari simti jabaan ka aaj bhi kaayal hun
Par afsos!!!!
Tumhare wo Lafz darinde the.
No comments:
Post a Comment