meri bahan Neha Simlai,D aur Sanjay Mishra ke liye jinne mujhe ishq ki tamiz sikhayee.
Muskurane ki aadat hai meri........
kisi insaan pe nahi
kisi ke haalaat pe nahi
balki us mukurahat pe
jo kadua muskurati hai.
sach mein misri nahi hoti
hoti hogi to kabhi ghulti nahi
jubaan pe chipki mithaas ki dali
kabse utni hi badi hai
tabhi kahun kuch kahne kyon nahi deti
chup hone bhi to nahi
.
muskurane ki aadat hai meri.................
mana tabahi nahi laati muskurahat
zindgi bhi to nahi
sab kuch tahra hua sa rahta hai
mund aanch mein pakti pateeli ki tarah
kuch kachcha nahi rahta
to kuch pakne deti bhi to nahi.
muskurane ki aadat hai meri.................
udhar jaane pe muskurahat hai
udhar lautne pe muskurahat hai
kyon saans ki tarah rooh pe kabza jamaye
marne nahi deti
to jeene bhi to nahi.
muskurane ki aadat hai meri............
udhar kisi ke aagosh mein
koi kabse hontho(n)ko chupaye baitha hai
aankhon ki falak mein jaake dekh lo
wahan pyar nahi
to sharmindgi bhi to nahi.
muskurane ki aadat hai meri..........
kaise koi ANSHUMAN muskurane ki aadat ko chhod de
ishq ke beehad mein kitne gale hain
jo roondhe hain.....phir bhi raahgeer hain
haan agar wo ishq mein lut-te nahi
to bachte bhi to nahi.
muskurane ki aadat hai meri......
Ai Tum! Dard apna mujhe de do
hum hanste nahi
to rote bhi to nahi
Haan muskurane ki aadat hai meri.
Thursday, July 24, 2008
muskurane ki aadat hai meri..................
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
ye beech ka raasta hai sarkaar aur irony ye ki jyaadatar log isi raaste se jaate hain..aur aate hain...muskurana formality hai..rishte bhi formal hain..isliye jindagi bhi formal hai..muskurana paagalpan ki nisaani nahi hai hansna aur jor se hansna uski nishaani hai...ishq ka darwaaza dhire se awaaz dene par nahi khulta..jor se chillana padta hai padosiyon ki nind kharaab hoti hai..
I liked the line "kuch kaccha nahi rehta to kuchh pakta bhi to nahi" outstanding...sharmindagi to khair aajkal out of fashion hai phir bhi chaalu faishon par bada accha comment hai ..nice poem..keep smiling
Post a Comment