.....wo wahan thi, jahan use veqtigat taur(personally) par
nahi hona tha
wo wahan nahi thi, jahan use samajik taur par
hona tha
wo bhee(n)d mein sabse aage thi,wo wahan thi
jahan use ro(n)ka gaya tha
wo pariwar mein sabse peeche thi, jahan use
aage aana tha
......wo kis parivesh mein parityakta(deserted) thi
kin sambhawnaon mein shithilta(lazy) thi..
rozi-roti,choolha-chakki,daana-paani ya ....
ek keet ki tarah
daanto(n) mein phansi,kabse''tooth-pick" ke saath
zirah mein lagi..
.......malal is baat ka ki aashiq ke saath nahi bhaagi
dwand is baat ka ki Bambai aur Dilli mein pali hoti..
to ek zuban paati
jo maa-baap se kahin zyada apni hoti
afsos is baat ka ki numais mein......
sirf AURAT ka sharir kyon bikta hai?
sandeh ki ek khusboo kachche aur pakke gosht ko..
kaise alag kar sakti hai?
hawayein paseena sukhaane aur bahane ka shagal
kaise paalti hain?
dhuan uth bhi sakta hai......to baith bhi sakta hai!
.......wo pak gayi......'UFF'
'HARAMI'....................phir gaali di.
apni aurat ko Raani bana ke rakhta hai aur mujhe 'RANDI'
.......wo raaste mein mili thi
raat ke paune ya adhai..
use sadak ke ZEBRA-CROSSING ke maayne nahi pata...
'decency' aur 'limit' bhi nahi
'green' aur 'yellow' bhi nahi
RED LIGHT???
haan wo yahin se chalti
rukti
aur phir chalti hai....!
...........HAAN WO IMAAN-DAAR THI.
Monday, July 14, 2008
ZEBRA....................crossing
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment