Sunday, March 28, 2010

Aaj awaargi mein kuch waqt bitane ka mann tha

Aaj awaargi mein kuch waqt bitane ka mann tha..
Tumhe paas bulaya
Tum aayi
Par khamosh rahi.

Kyon?
Maine nahi poocha!
Main awaargi mein mashgool raha..
Aur tum apne mein khamosh.

Waqt beeta..
Raahein budly..
Aur alag hoke lambi ho gayi..
Ab main khamosh rahne laga
Aur raahein awaargi mein mashgool.


Kahte hain..
Kuch din baad
Kai duniya ke log ikatthe huye
Uski Awaargi ko kandha dene ke liye..
Par raahon ki shikayat hai.
Ki tum mayyat mein sharik hone to aayi..par khamosh rahi.
##
‘Main tumhe pyar karta hun..’

Hey
Suno!
Agar bura mat maano..
To kahun
Main tumhe pyar karta hun.
*
Isharon mein nahi kah sakta
Khaton mein nahi likh sakta
Lafz saste sahi..
Aakhir mere hain
Aur ek lafz mein kahun
To main tumhe pyar karta hun.
*
Naaraz hoke kya karogi?
Aur khoobsurat lagogi.
Aankhein badi ho jayeingi
Aur naak chhoti.
Us titli ka kya hoga??
Jo tumhare gaal pe baithi hai..
gar use pata chal gaya..
ki main tumhe pyar karta hun!
*
Jab main mohabbat mein hota hun
Jeena nahi chahta
Marna jaruri to nahi…
Par aasaan lagta hai ..
Marr gaya gar agar
To shayad!
Tumhara shaq sahi nikle..
Ki main tumhe pyar karta hun.
*
Soch lo
Iss baar gar
Main zinda raha
Aur tum meri huyee!
Taaj-jub karegi kaaynaat saari..
Ki yeh awara,
Sach mein kahta tha.
Ki main tumhe pyar karta hun.