Thursday, July 31, 2008

...it's not done................................

wong-karwai aur jiang-wen ke liye.....

mere khauf hain
mere apne sapne....
khuli aankhon ke sapne nahi
balki band aankhon ke.

pasri hui raat ho
ya pasra hua din
kya fark padta hai?
sirf aankein band honee chahiye...
aur mauzu munasib ho
to zindgi khauf-jada ho jaati hai.

ek aisi duniya ka kaayal hun main
jo kahin nahi milti
tamam baar feri waalon se poocha hai
ai tum!kabhi us duniya mein koi saamaan bechne gaye ho?
aur sab apni tokariyan utha kar bhaag khade hote hain.


main sawal nahi karta
kyonki zindgi sawal ka kabhi mauka nahi deti
wo kaan kheechti hai
chhoti-chhoti galtiyon pe...
thappad maarti hai..
meri aana-kaniyon pe
aur tamam baar
mehmaano ke saamne mera mazak udati hai.

aur main saari platein
mej-posh par lagata rahta hun
chup-chaap...
aankhon mein do suiyan chubhti rahti hain
aur aksar kuch boondein khadi ho jaati hai
aise jaise unhe
wahan se nikalne ki jaldi ho.



kal yun hi
ghar ki buhar lagate waqt
ek boodhi aurat gujri saamne se
parde ka oat tha
par jheene parde se kya nahi dikh jaata hai
kai-kai zindgiyan
pardon ke peeche lagi rahti hain
ki aaj nahi to kal
parde ka oat zarur milega
khair wo aurat maniharan thi
un dinon ki uski umar
jab gharon mein daadiyan
bahuein banke aayee thin..
uske haathon mein chaandi ke tediya
pairon mein sher bhar wajan ke kade
gale mein hansuli
aur haathon mein?
kuch nahi
wo choodiyan bechti hai



meri taraf dekh ke muskurai
kaha ye
idhar kya kar raha hai?
main dar gaya
kaun ho tum?
mujhe nahi pahchana.!!!!
nahi..
maine teri bahu ko choodiyan pahnayee thi...
kab?
dariya ki umar se pahle
ek toofan aaya tha
agar tujhe yaaad ho..
us toofan ke aane se pahle.
maine kaha
tum pagal ho...
wo khilkhilayee
mat bol
teri bahu boli thi..
aaj bhi dariya jab bahti hai
to charwahe uske rone ki aawaj sunte hain

main dara nahi
maine daanta use
kis duniya ki baat kar rahi ho?
hamari...
dariya ...ke paar Toofan ke aane se pahle
tab main kahan tha?
tum kashti leke dariya ke paar gaye the
kya karne?
tab tum ZINDGIYON ka sauda karte the..

tumhari bahu ghar pe thi
wo haamla thi
aur main use choodiyan pahnaane aayi thi
tum tab bhi choodiyan pahnaati thi..
tum bhi to
tab se aaj-tak
zindgiyon ka sauda karte ho!
wo khilkhilayee
aur uski tokri mein rakhi saari choodiyan
rone lagee..

tum yahan mujhe darane aayee ho?
naa
tumhe aagah karne..
kis baat ka??..
yahi ki
kal teri bahu ne
kisi charwahe ki bhed(SHEEP)
gaayab kar dee
aur wo tab se roye jaa raha hai
to main kya karun
use jaake kaho
bhed wapas kar de
nahi to toofan phir se wapas aayega...
wo phir hansi..
aur tokri ki saari choodiyan rone lagi
main nahi jaaunga...
chahe kuch bhi ho jaaye
tujhe jaana padega
na gaya to
toofan aayega!
meri bala se...
tujhe phir dariya mein kashti utaarni padegi
zindgiyon ka shauda karne jaana padega
phir toofan ke baad ki duniya
jaisi ki taisi ho jaayegi
aur phir main teri haamla bahu ko choodiyan pahnaane aaungi.

main maare dar ke kaamp raha tha...
aisa kaise ho sakta hai
ye daayan hogi...wo boli
tum phir galti kar rahe ho...
abhi dariya mein ghaas ug aayee hai
wahan bilkul paani nahi hai
saare patthar
dariya ke kinare
kaagaz ki tarah udte rahte hain


aur kai baar
bhedon ki peeth par baith ke
unhe chhot pahuchate hain.
unse kaho
wo
wahan se utrein
ghaas pighalne waali hai
aur saari dariya
ghaas ke pighalte hee barf se dhak jaayegi


meri aankhon me suiyan chubhni shuri ho gayee
dhaage phir lambe ho gaye
usne kaha
keemat do
kis cheez ki?
teri bahu ne meri teen choodiyan tod dee thi

mere paas kuch bhi nahi hai
main gidgidaya
to teen zindgiyan de... kaise doon..?
mujhe nahi maloom
teri duniya
tere log
teri zindgi
mujhe keemat chahiye...!!!
maine kaha........mujhe wapas karegi?
usne kaha kya?
dariya!
uske pahle ka toofan
aur meri D............dddddddddd

wo khilkhilayeee
aur tokri mein rakhi saari choodiyan rone lagi...
usne kaha...
dariya mein ghaas pighalni shuru ho gayi...
ab phir toofan aayega...
.usne tokri kee kuch choodiyan khaa lee...
aur uske pairon ke neeche ki ghaas pighalni shuru ho gayi
wo doob gayi..
par choodiyon ke rone ki aawaj lagaataar badhti ja rahi hai.

....phone ki ghanti baji
haan.....
1-6 office mein meeting hai
aajka lunch cancle
main raat mein phone karungi
khaana kha lena
luv u
luv u 2

...........aur tumne phone kaat diya tha.

Dr Neeraj Kumar ke liye..........



main apne aap se woob gaya hun....
aisa socha nahi
mujhe aisa laga.

baahar aaya
aur tumhe phone laga diya
tumne phone kaat diya
bheetar wapas gaya
aur phir laga
main apne aap se woob gaya hun.

ab tak tumhara phone aa gaya
haan kya baat thi?
pahle socha na kahun
phir socha kyon na kahun?
tum kahti rahti ho
mujhe har cheez bata diya karo
aur maine kah diya
main khud se woob gaya hun!!

paagal ho gaye ho?
nahi to
phir aisa kyon sochte ho?
kaisa?
ki apne se woob gaya hun?
kitne paaglon ko jaanti ho
jo apne se woob gaye hain?

dekho
tumhari ghanti aayi thi
main kuch zaruri kaam kar rahi thi
kaat di
phir socha
shaayad tumne kisi zaruri kaam se phone kiya ho?
isliye dobara se kar liya
to kaat do!
kya?
phone!


















kyon?

maine kuch bhi zaruri batane ke liye phone nahi kiya tha?

tum chhoti see baat ka bura maante ho
maine kab maana?
abhi!
naa
main to apne aap se woob gaya hun
socha....sabse pahle tumhe bata doon....






kal mujhse aake milo

sab sahi ho jaayega
kuch kharab kab hua?
jo theek hoga
zindgi waisee kee waisee hai.

tumne shave kee!
nahi.
kyon?
har paanch minute mein badh jaati hai.
kal mujhse milne aate waqt karoge?
nahi....nahi karoonga.
belt bhi nahi lagaoonga
bilkul taiyaar nahi hoonga...

kyon?
duniya achchi nahi lagti kya?
achchi lagti hai!
kai baar bahut achchi lagti hai..
uske paas naukri hai
formal shirts hain
tie hai
polishd joote hain
polishd language hai
combed hair hai













style hai..

bolne,chalne aur behave karne ki.

tumhare paas bhi to ye saari cheezen hain!
tum hans dee
naa maine saari utaar ke kone mein rakh dee hai....
tum aur tej hansi
tum poore paagal ho...
main paagal hota to apne se kaise woobta?

faaltu baatein baad mein
kal tum mujhse milne aa rahe ho..bas!
bas!....aur tumne phone kaat diya.

phone ki ghanti baj rahi thi
utha ke phone kaan pe lagaya..
tumne daanta.....
kitni der se tumhara phone try kar rahi hoon?
ek baar mein uthate kyon nahi ho..
mujhe jhapki aa gayi thi......
shaam ke 4 baje hee tumhe jhapki aati hai..
achcha bhaag ke aao..
main tumhe kisi se milwana chahti hoon....
D......dddddddddd
main kuch nahi sunna chahti....
aur haan SHAVE karke aana.

aur tumne phone kaat diya tha.

sawalon ki marzi nahi hoti...........



aakshie aur 2b ke liye..........









aaj shaam kai duniya ke log ikatthe hue
achchi
aur alag baat yeh thi
ki sabki apni duniya thi.




koi kisi ki duniya mein nahi tha

kisi ke bharose nahi
koi saath nahi

aur ghanton koi baat nahi.

phir talkhi tooti
mujhe laga

abhi baat hogi
sab baat karenge
cheezen khulengi
koi apnapan layega
koi parayepan mein chutkiyan lega
phir hansi hogi

thatthe honge
aur ma
usam ka mizaz badlega.

aisa kuch bhi nahi hua..
pahle ne bolne se mana kiya

doosre ne nazrein milane se
teesre ne naak sikodi
chauthe ne bhauyein marodi

phir baaki ke sabne peeth dikha di.




maine socha
sabne aisa kyon kiya
kya unke paas kahne ko sachmuch kuch nahi tha?
aisa tha agar
to unke ishaare?
unke chehre ?
chup hone chahiye ..

sab to bol rahe the..
.siwaye
unke honton ke?

koi bada sawal nahi hai?
to koi bada jawab bhi nahi hoga shaayad?
zindgiyan beet jaati hain
aur hum ek-doosre ki taraf
peeth kiye baithe rahte hain
is intzaar mein ki abhi wo kuch poochega

aur hum uska jawab denge?



hum saalon tak chup rahte hain
saalon tak intzaar karte hain
ek mauke ki talash mein
jab hum apni marzi ka jawab denge....

sawalon ki marzi nahi hoti
sawal karne walon ki bhi marzi nahi hoti
wo be-marzi ke
bune jaate hain
pooche jaate hain
is tark ke saath
ki wo shaayad sawal hone ki keemat chuka rahe hain
ek prayschit....

gaddhe jaane ka..
bune jaane ka..
kuredne ka..
talashne ka.
.aur phir takleef dene ka!
sawalon ke ant mein ek takleef.


shaam mein saare log
aise kai sawalon ko bunte hue
ek doosre ki taraf peeth kiye
chup-chaap baithe rahe
is talash mein

ki sabki baari aayegi
sabke sawal aayeinge
aur phir
sabke jawab.
shaayad yahi wajah thi
aaj shaam koi kisi se kuch nahi bola
ye alag baat hai
aaj shaam kai duniya ke log ikathhe hue.

Tuesday, July 29, 2008

.....beeti raat SHIMLE mein barf padi thi




anurag kashyap aur 2b ke liye--

main aksar is sadak pe aake
khada hota hoon
phir palat ke dekhta hun
us sadak ki taraf
jispe tangi takhti pe likha hai
ye sadak aage nahi jaati.


sadak wahi hai
jispe main khada hun
sirf muh modne bhar se
likha padhne mein aata hai
ki sadak aage nahi jaati.

fir saamne dekhta hun
usi sadak ki taraf
jispe bina likhe
padhne mein aata hai
ye sadak zindgi ki taraf jaati hai.

cigarette jalata hun
kahin koi galti hui
ya galat raashte pe aake khada ho gaya.

seene mein dard uthta hai
khaansi aati hai
jaise tumne jore ki thaap seene pe maari ho
aur main bolta hun
aise nahi maarte
mera dil kamzor hai
aur tum hansti ho
dil kamzor hai?
aur mujhse ISHQ karte ho?

maine kaha
dil ka kamzor hona ishq ki pahli shart hai?
cigarette bujh gayi kya?
ya muh mein ab tak nahi lagayi
jalayee bhi?
dibbi mein thee bhi
jeb mein haath bhi daala kya?
nikali wahan se?

khair jeb mein
us dibbi mein
aakhri cigarette thi

wo bhi tooti thi
maachis ki teeli ka masala toota tha
shaayad jalata to bhi na jalti

over-coat ko tatola
poori tarah se bheeg gaya hun
thandi hawa bhi hai
aur toofan bhi
shaayad shimle mein barf padi hogi ?
shaayad!
tum apne hotel ke kamre se nikal ke
reception pe aayee hogi
shikayat karne
ki A.C kamra garm kyon nahi kar raha.?

over-coat phir tatoli
kaafi barf jama thi..
poori coat Shimle se jyada barfeeli thi.
par badan bheeg raha tha
pasheene se lathpath

tumne dawayein lee
neeli waali goli?
hari to subah khaani thi....
safed wali tab..
aur Laal wali?
tum khud se kha lena
tab main shimle mein hoongi

phone kar dena?
nahi kar paungi..
kyon?
ab tum kamati ho?
shimle mein phone nahi hai kya?
ya tumhe fikr nahi ?
ki mujhe dawa khaani hai?

koi jawab nahi
san-nataaaa
thode aansooo
subkiyan
bus.

bheed jama thi
subah ki talkhi thi
raat ko giri barf pighal rahi thi
log over-coat mein haath daale
ikat-tha the.

ek ne doosre ko aawaj di
kya hua?
dosra door se chillaya
koi mar gaya hai?
kahan?
SADAK AAGE NAHI JAATI WAALE LAMP POST KE NEECHE.

pahla bola...
THANDH SE MARA HOGA.
doosra bola..
beeti raat SHIMLE mein barf padi thi.
























...jab bahut der tak HIROSHIMA nahi aaya


jab bahut der tak HIROSHIMA nahi aaya
DR. ASHOK CHAKRADHAR aur TWO-B ke liye.......tumne meri aankhein cheen leeaur mujhse kahaudhar jaake khade ho jao jahan HIROSHIMA aane wala hai.main bahut der takek takusi raah pebina nigah ke khada thakyonki tumne kaha thaudhar jaake khade ho jaojahan HIROSHIMA aane wala hai.HIROSHIMA nahi aayegaek bachcha chillataseeti bajata nikal gaya.phir ek jawan aadmi apni cycle se pareshaan aadmiapni utri chain kochadhane ke baad bolaHIROSHIMA nahi aayegaaur phir ghanti bajata nikal gaya.phir ek ladki gujri shaayar thi woshaayad...gunguna rahi thigungunate hue boli HIROSHIMA nahi aayega.main pareshaan hairaanagar HIROSHIMA nahi aayato jaunga kahan.aankhein nahi hainapna shaher nahi haiapne log nahi hainaur tumne kaha thaudhar jaake khade ho jaojidhar HIROSHIMA aanewala hai.HIROSHIMA nahi aaya aur sadiyan beet gayeinlogon ne kahna shuru kiyatum bhi kiski baaton mein ulajh gayekisi ladki ki kya?achanak sannata cha gayakisi ladki ki kya?aawaj goonjti rahikaano tak daud ke aatiphir sarpat chali jaatikisi ladki ki kya?mujhe yaad aayeewo shaamshadiyon pahlejab aankhein cheenne ke baadtumne kaha tha udhar jaake khade ho jaojidhar HIROSHIMA aane wala hai.maine apne badan ko tatolajism ko pahchanne ki koshish kiwo wahi nahi thakuch bhi to nahi thasiwayeus ek ret(sand)ke teele kejo achanak tatolne se dhasak karbaaloo ki tarahbikhar gaya.tumne mujhse jhoot kyon bolaapne se alag kyon kiyaaankhein kyon cheeni merius raashte pe le jaake kyon khada kiyajo tumse door thaus raashte se door thajidhar se HIROSHIMA gujraaur tumhe leke chala gaya.duniya sahi thi apni jagahwo ladki ko kabhi pahchaan nahi saktius ladki ko jo jab-jab HIROSHIMA gujrato bina bataye uske saath chali gayi.ek aadmi ko baalu ke teele pe khada kar ke.haan HIROSHIMA sadiyon mein ek baar aata haiaur wo ladki uske saath bina bataye chali jaati hai.aur main us ladki se pyar karta hoon.
DR. ASHOK CHAKRADHAR aur TWO-B ke liye.......

tumne meri aankhein cheen lee
aur mujhse kaha
udhar jaake khade ho jao
jahan HIROSHIMA aane wala hai.

main bahut der tak
ek tak
usi raah pe
bina nigah ke
khada tha
kyonki tumne kaha tha
udhar jaake khade ho jao
jahan HIROSHIMA aane wala hai.

HIROSHIMA nahi aayega
ek bachcha chillata
seeti bajata
nikal gaya.

phir ek jawan aadmi
apni cycle se pareshaan aadmi
apni utri chain ko
chadhane ke baad bola
HIROSHIMA nahi aayega
aur phir ghanti bajata nikal gaya.

phir ek ladki gujri
shaayar thi wo
shaayad...
gunguna rahi thi
gungunate hue boli HIROSHIMA nahi aayega.

main pareshaan
hairaan
agar HIROSHIMA nahi aaya
to jaunga kahan.
aankhein nahi hain
apna shaher nahi hai
apne log nahi hain
aur tumne kaha tha
udhar jaake khade ho jao
jidhar HIROSHIMA aanewala hai.

HIROSHIMA nahi aaya aur sadiyan beet gayein
logon ne kahna shuru kiya
tum bhi kiski baaton mein ulajh gaye
kisi ladki ki kya?

achanak sannata cha gaya
kisi ladki ki kya?
aawaj goonjti rahi
kaano tak daud ke aati
phir sarpat chali jaati
kisi ladki ki kya?

mujhe yaad aayee
wo shaam
shadiyon pahle
jab aankhein cheenne ke baad
tumne kaha tha
udhar jaake khade ho jao
jidhar HIROSHIMA aane wala hai.

maine apne badan ko tatola
jism ko pahchanne ki koshish ki
wo wahi nahi tha
kuch bhi to nahi tha
siwaye
us ek ret(sand)
ke teele ke
jo achanak tatolne se dhasak kar
baaloo ki tarah
bikhar gaya.

tumne mujhse jhoot kyon bola
apne se alag kyon kiya
aankhein kyon cheeni meri
us raashte pe le jaake kyon khada kiya
jo tumse door tha
us raashte se door tha
jidhar se HIROSHIMA gujra
aur tumhe leke chala gaya.

duniya sahi thi apni jagah
wo ladki ko kabhi pahchaan nahi sakti
us ladki ko
jo jab-jab HIROSHIMA gujra
to bina bataye uske saath chali gayi.

ek aadmi ko baalu ke teele pe khada kar ke.
haan HIROSHIMA sadiyon mein ek baar aata hai
aur wo ladki uske saath bina bataye chali jaati hai.
aur main us ladki se pyar karta hoon.



...magar gila na karein.










I loved Kateel Shifai(Pakistan) when I was a kid..
ANANDANA KAPOOR ke liye..jiski aawaz mein mere dard ko jazb karne ki taakat hai.....


WO dil hi kya jo tere milne ki dua na kare
main tujhe bhool ke zinda rahoon khuda na kare
rahega tera pyar saath zindgi ban-kar,
ye aur baat meri zindgi wafa na kareye
yeh theek hai nahi marta koi judai mein
khuda kisi se kisi ko magar juda na kare

suna hai unki mohabbat duayein deti hain
jo dil mein chot to khayein magar gila na karein

apne bahke kadmon ki saazish mein...............










aakshi ke liye,jo tamam baar NORAH JONES se jyada achchi lagti hai-----

tumne soch kar nahi bola..
aur maine bol kar nahi socha..!
us gujre fal-safe mein ..
jo tumne nahi bola
aur jo maine nahi socha..
wo us lamhe mein kaid hai
jo apni saakhon par deenaar ugati hain.
........
jo apne darakhton mein taarikh chupati hain
.......
...aur un gawahon ko muh mod lene ke liye bolti hain
...jo apne bahke kadmon ki saajish mein
...."MOHABBAT""ko jurm maante hain
aur hum dono ko ''jurmwar''

dono ki apni sajayein hain
apni bad-duayein bhi
jao kaid ho jao ,apni zindgiyon mein
aur jab kabhi muh dhone ke baad
aakhiri boond palkon pe chhipke ja baithe
to use ruei(cotton) ke halke faahe se
wahan se girane ki koshish karna.

....phir chhupana
jaise kuch hua hi na ho

...kai afsos jama ho jaate hain
aur kai zindgiyan kaid
sajayein girahbaan mein jhaank ke poochti hain
HEY! KIS JURM KE MAARFAT TUM YAHAN AAYE HO
aur wo pahli baar sar utha ke bolta hai..........
"MOHABBAT"

Monday, July 28, 2008

......aur Zindgi nikammi ho jaati hai


us ladki ke liye jo mujhe pyar nahi karti...aur TIGMANSHU
(TISHU) DHULIA ke liye jo mere liye bhagwan se kam nahi.



Bahke kadam ke kai saamyane hain..........

....haan kuch mein mohaabat hai,..

to kuch mohabbat mein ujde -veerane hain.

...wo aate hain,sajate hain....
............kahan kaise sab kuch sahi paate hain
hosho-hawaash mein kahan hoti hai mohabbat...
........aur jo mohabbat mein hain khud ko madhosh paate hain.

pyar utna bhi bura nahi hai
jitna tumne bana diya
aur jitna maine samajh liya
..phir wo kaun hain jo sadkon pe jaam takrate hain...?????

....Battiyon mein kaid karke roshni
battiyon ko bujha do
battiyan shor karti hain.

...kadmon me lapet ke thirkan
unhe sula do
wo saans lete hain
gajab dhaati hai zindgi jab thirakti hai
gajab dhaati hai dhadkan jab dhadkti hai

gajab dhaate hain sannaate ,jab Rooh kaampti hai
gajab dhaati hai Rooh jab Zindgi se alag hoti hai
....................
.....................AUR ZINDGI NIKAMMI HO JAATI HAI
jab tum kahti ho
"tum mujhe pyar nahi karti".

Saturday, July 26, 2008

meri pasand.....chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayein hum dono


meri pasand.........
Sahir Ludhiyanvi

चलो इक बार फिर से अजनबी बन जायें हम दोनो

ना मैं तुमसे कोई उम्मीद रखूँ दिलनवाज़ी की
ना तुम मेरी तरफ देखो गलत अन्दाज़ नज़रों से
ना मेरे दिल की धड़कन लड़खड़ाये मेरी बातों में
ना ज़ाहिर हो तुम्हारी कश्मकश का राज़ नज़रों से

चलो इक बार फिर से अजनबी बन जायें हम दोनो

तुम्हे भी कोई उलझन रोकती है पेशकदमी से
मुझे भी लोग कहते हैं कि ये जलवे पराये हैं
मेरे हमराह भी रुसवाईयां हैं मेरे माझी की
तुम्हारे साथ भी गुज़री हुई रातों के साये हैं

चलो इक बार फिर से अजनबी बन जायें हम दोनो

तारूफ रोग हो जाये तो उसको भूलना बेहतर
तालुक बोझ बन जाये तो उसको तोड़ना अच्छा
वो अफसाना जिसे अन्जाम तक लाना ना हो मुमकिन
उसे इक खूबसूरत मोड़ देकर छोड़ना अच्छा

चलो इक बार फिर से अजनबी बन जायें हम दोनो

Thursday, July 24, 2008

muskurane ki aadat hai meri..................


meri bahan Neha Simlai,D aur Sanjay Mishra ke liye jinne mujhe ishq ki tamiz sikhayee.



Muskurane ki aadat hai meri........

kisi insaan pe nahi
kisi ke haalaat pe nahi
balki us mukurahat pe
jo kadua muskurati hai.

sach mein misri nahi hoti
hoti hogi to kabhi ghulti nahi
jubaan pe chipki mithaas ki dali
kabse utni hi badi hai
tabhi kahun kuch kahne kyon nahi deti
chup hone bhi to nahi
.
muskurane ki aadat hai meri.................

mana tabahi nahi laati muskurahat
zindgi bhi to nahi
sab kuch tahra hua sa rahta hai
mund aanch mein pakti pateeli ki tarah
kuch kachcha nahi rahta
to kuch pakne deti bhi to nahi.

muskurane ki aadat hai meri.................

udhar jaane pe muskurahat hai
udhar lautne pe muskurahat hai
kyon saans ki tarah rooh pe kabza jamaye
marne nahi deti
to jeene bhi to nahi.

muskurane ki aadat hai meri............

udhar kisi ke aagosh mein
koi kabse hontho(n)ko chupaye baitha hai
aankhon ki falak mein jaake dekh lo
wahan pyar nahi
to sharmindgi bhi to nahi.

muskurane ki aadat hai meri..........

kaise koi ANSHUMAN muskurane ki aadat ko chhod de
ishq ke beehad mein kitne gale hain
jo roondhe hain.....phir bhi raahgeer hain
haan agar wo ishq mein lut-te nahi
to bachte bhi to nahi.

muskurane ki aadat hai meri......

Ai Tum! Dard apna mujhe de do
hum hanste nahi
to rote bhi to nahi

Haan muskurane ki aadat hai meri.

thoda thaher jao tum.................


D .....agar tumhe yaad ho.

Thoda thaher jao tum.........
wo gair hote hain jo ek saans chale jaate hain.

Main roke leta tumhe apne paas hi....
gar,dehleez ke do aab na hote
raat hoti,par na din dobara
na adhoore khwab hote.

Hizr ke paar uthe sailaab ki ruswai...
kinaron pe khade ho jao..
kyonki, Zindgi ke haathon patwar nahi hote...

thoda thaher jao tum
wo gair hote hain jo ek saans chale jaate hain.

Wednesday, July 23, 2008

main wapas der se lauta.............


Rhythm ke liye…………….

Mai pichle kai saalon mein ghar nahi lauta
is dar se
ki baaju wale ghar ki chaukhat pe khada koi padosi
yeh na kah de
tumhara ghar kho gaya hai.

kya jawab doonga?
us padosi ko...
jo apne ghar ki chaukhat pe tabse khada hai..
jabse main apne ghar nahi lauta hun.

laaparwahi kahen ise
jisme hum kho jaate hain
ghar wapas nahi aate
ya laparwhi wo hoti hai
jisme hum bheetar hi bheetar
ghar tatolte rahte hain.

itne ghar,
itni deewarein
saari chatein apni uchaiyon ke bojh se dabi
khidkiyan dopahri mein besharm hawaon ke thapedon se unghti
aur jagane pe tilmilati
kiska ghar poochte ho
koi nahi rahta is naam ka yahan..
phir achanak aankh meenchte hue
haan ……udhar us gali mein jaakar dekh lo
jismein dheron madaar ug aayee hain.

shaayad mausam ke paas
us mausam ki aakhri kisht rahi ho
jiska kisi ne daam nahi lagaya
boliyan nahi chadhi
aur munasib jaankar
isi gali mein wo
apni redi/thela ulat kar bhaag gaya
yeh samajhkar
ki ,is khep ko sadna likha hai
jaahir hai
wahan duniya nahi thi
uske puchattar nahi the
wo jhola nahi tha
...jo sab taaja aur hara kharidta hai.

us gali mein jaane par
ek makan dikhta hai
jiske darwaje pe saankal aur aligarhi taala dikhta hai
par wo darwaja kabhi nahi dikhta
jo bheetar ki taraf khulta tha.

jab wo chhota tha
peet-ta tha us darwaje ko
chatpata tha agar us darwaje ko khulne mein der lagti
aaj ghanton ho gaye
bahar aake khade hue
par wo darwaja bheetar ki taraf nahi bahar ki taraf khulta hai.

wo jaanta hai
yeh usi ka ghar hai
par ye wahi darwaja nahi hai
ek paiir mein keechad sani hui chappal
aur haathon mein doosre paiir ki tooti hui chappal dekhkar
khilkhilata hua darwaja
aaj badbadata hai
aankhein kyon meechta hai
kyon aisa lagta hai
jahan chehra hota tha
aaj wahan jhurriyon ke neeche tahkhana hai
jo mujhe batana nahi
mujhse chhupana chahta hai

daudte-haanfte charon taraf se ghar ke kai chakkar lagata hun
us firangi ki tarah
jo maachis ki teeli mein
neebu ki pattiyan daal bhar dene se ban jaati thi
par wo darwaja kahin nahi milta.

mann poochta hai
kya baaju ke kabze us chatpatahat ko bhool gaye
ya phir shaayad wo itne boodhe ho gaye
wo gali ke madar ko kaatne ke liye hansiye ko nahi utha paaye..
aur aaaj jab wo lauta
to aadam- kad madaron ne
ghar ka raashta roondh diya tha.

wo nahi jaanta
ghar ka dum ghut raha tha
ya ghar ka dum ghut chuka tha
haan shaayad wapas aane mein bahut der kar di thi.








Tuesday, July 15, 2008

OH,GAWD!....................



.........I don't want to sleep
even when i fall asleep.
lonely,serene & sabbatical
promises made to be broken.
.........Why on earth a 'God'...?
unkempt,shabby,abusive as a 'frog'.
Why on earth 'cow-dung'..?
pelted on the neighbour's whitewashed wall
just in the process to achieve a make-believe 'GOD'.

.........I don't want to brag
even when i'm on cloud nine
with God,just after finishing my life
which i did find so gorgeous
said 'NO' to carry the process...
.......then taking an overview of life..
along side God,doing my camera..
and me,tickling HIM in his tummy.

.........I don't want want to lie
even when there are palm leaves to hide the truth
i have seen God naked
making love to a 'wall'
presumably a 'Chinese one'
but hackneyed and abondoned
lost bricks here and there
in order of appearance
and then from the other side
protuberances & parts of female organs
peeping from the pores
in order to compliment 'their GOD'.

........I don't want want to shout
even when i'm on the uppers
one day while having an ice-cream
i suggested to GOD to play my 'life drawing model'
something senseless,....ridiculous...
wanted to sketch MINK'S ORGASM
which obviously longer than GOD'S.
......so where was the heat...?
which could blow the fireplace
in order to heat up GOD
to get the desired result(gross)
GOD growled,shivered and stumbled
but couldn't afford to achieve 'MINK'S ORGASM'
though ice-cream had deiced..
on my face and clothes ages before.

.........Now I growled..
What the 'F**K' r U doing....?
GOD growled likewise..
YOU can't afford to have an ICECREAM..
so what if i couldn't afford to have 'MINK's ORGASM'

.. .since then i've never wanted to sleep.






Monday, July 14, 2008

...............i see nothing rational.




......I see nothing rational,
except a hive and,
a cluster of honey-bees.

..when the Christmas light slows down..
losing in the hands of a nemesis
named twi-light(or tonal-equality)
here come three musketeers..
treading on a tight rope
promising a tough fight
but losing lives single handedly..
in the hands of virtuosity.

...rope was not at fault
even the bamboos were not at fault
not even the people gathered around.
it was their hearts..
which when became laughing stock,
while treading on a tight rope
they found people mocking at them
mumbling about their pink cheeks and..
hammered chins.
they couldn't bear the laughter
they couldn't bear the whine
lost guns in the hands of 'speaking mimes'
so what if there was a' rational gun'
a rational mind to trigger that off
there were hands
there were palms
reading the line of life
and then again,crossing the line of brain,
always a line of heart.
which too doesn't listen to the musketeers..
people with 'arms'.

....but it listens to a perpetual bee-humming
a conundrum of its sort
and it understands a tale wagging dance
a method in the loop of its sorts.

.....A hive is hive
made in heaven
it seems as the honey-bees are always with plans.
a promising future..
between well structured walls
a shell of its kind
blind in love with honey-bees
and inclined for the 'sweet-sauces'.
......nothing penetrates the mood
except a bee trigger
why is there a method in the hive?
why is there a dance in the bee?
why is 'relief' so uncertain?
why is 'scent' so unconscious?
that while giving a peck on its cheek..
flowers don't wither
flowers don't flower
they just remain 'flowers'
dressed in 'indecency'
unwrapped in 'limits'
making love with a honey-bee
moaning,to get soaked in trigger.
.....a 'calyx' working as a nail
a 'corolla' working as a sheet
'pigments'working as stains
and then a lot of emotional fluctuations
caused by the 'breeze'
keeping the process in' ease'
so how was the 'day'...?
how was the 'night'....?
how was the moment..?
and how was the ''love-pride"..

.......Love-pride came as a 'scar ' on the flower's cheek
a painful sigh in the lover's breath
that night ,the flower clamped its petals
it never came to see another moon-light
a glycerine one
a white.
........botanists rumoured this 'an affair'
twi-lights mocked this 'a fling'
wild-talents peeped in the matter and
then whisked away....
No one went to the flower
to feel the 'pulse'
to smell the 'odour'
to smell the 'irrationality'..
which resurfaces the flower as a 'flower'.

........Flower had nothing 'constructed'
except the 'faith'
to fall in love..
and then remain silent.
........SINCE THEN I SEE NOTHING RATIONAL
EXCEPT A HIVE
AND A CLUSTER OF HONEY-Bees.




ZEBRA....................crossing



.....wo wahan thi, jahan use veqtigat taur(personally) par
nahi hona tha
wo wahan nahi thi, jahan use samajik taur par
hona tha
wo bhee(n)d mein sabse aage thi,wo wahan thi
jahan use ro(n)ka gaya tha
wo pariwar mein sabse peeche thi, jahan use
aage aana tha

......wo kis parivesh mein parityakta(deserted) thi
kin sambhawnaon mein shithilta(lazy) thi..
rozi-roti,choolha-chakki,daana-paani ya ....
ek keet ki tarah
daanto(n) mein phansi,kabse''tooth-pick" ke saath
zirah mein lagi..

.......malal is baat ka ki aashiq ke saath nahi bhaagi
dwand is baat ka ki Bambai aur Dilli mein pali hoti..
to ek zuban paati
jo maa-baap se kahin zyada apni hoti
afsos is baat ka ki numais mein......
sirf AURAT ka sharir kyon bikta hai?
sandeh ki ek khusboo kachche aur pakke gosht ko..
kaise alag kar sakti hai?
hawayein paseena sukhaane aur bahane ka shagal
kaise paalti hain?
dhuan uth bhi sakta hai......to baith bhi sakta hai!

.......wo pak gayi......'UFF'
'HARAMI'....................phir gaali di.
apni aurat ko Raani bana ke rakhta hai aur mujhe 'RANDI'

.......wo raaste mein mili thi
raat ke paune ya adhai..
use sadak ke ZEBRA-CROSSING ke maayne nahi pata...
'decency' aur 'limit' bhi nahi
'green' aur 'yellow' bhi nahi
RED LIGHT???
haan wo yahin se chalti
rukti
aur phir chalti hai....!

...........HAAN WO IMAAN-DAAR THI.

abstract-notion.....IN THE DEAD OF NIGHT

a

Sunday, July 13, 2008

Main sapno(n) mein ghira akela chalta hun........

.....
................
...................Main sapno mein ghira

akela chalta hoon...................................

jab ki baadal naayab hote hain........

wo tirte hain.......

saath nahin dete

aur zarurton ke khilaaf kai baar baras jaate hain.


....................hawayein badguman hoti hain

wo tej hoti hain........

bahti rahti hain.....

rukh mode deti hain....

aur baadlon ke saath mujhse kai baar aage nikal jaati hain............

......................main sapno mein ghira akela chalta hun.........

.........Ummid nahi hoti...

par ummid hoti hai.............

..........apne nahi hote

par apne hote hain...........

kai baar hum ummid se aage nikal jaate hain..........

utne ki jitnon pe sapno ki chammachein ban jaati hain..........

aur hum ghanton apne chehron ko niharte muskurate rahte hain....

............................................................"".HAAN MAIN SAPNO(N) MEIN GHIRA AKELA CHALTA HOON""""

>>>>>SHAAYAD WO TUMHARA HO>>>>>>>>>>


....meri aakshi ke liye jise D ke baare mein maloom hai.

""SHAAYAD WO
TUMHARA HO""..

......Kabhi tum aisa kyon nahi karte?

thoda udhar aate ...
zidhar main akela hoon.
Cheeni mitti ke pyale mein chai ka shauk...
tumhe kahne ki zarurat nahi padegi...
ek gaanth adrak..
aadhi chammach chini
...aur patti utni hi jitni tum bol ke gayi thi....

....chai ubal jayegi
tum naaraz hogi....
...chulehe ke burner pe chai ki khusboo..
...tumhe pasand nahi hai..
roshandaan ka pankha jal gaya hai...
ab wo har taraf ki hawa se rengta rahta hai...
...har koi yahan apni marzi ka maalik hai..
koi kisi ki nahi sunta..
......na roshandaan ka pankha......na burner pe giri chai ki khusboo..

...........Tum chai ko "thandi" peeti thi
aur main "garm"..........
"TASEER"
kahan jaake baith gayi hai..?
aksar meri garm chai tumhari thandi ho jaati hai...
peena bilkul yaad nahi rahta..!
adrak ki "talkhi"
cheeni ki "mithaas"
kabhi apni naapon se zyada ho jaate hain....
to kabhi apni naapon se bahut kam,,
utna kabhi nahi hote.......
jispe "hamari"chai bana karti thi...

............tumhara "cup"
jise tum "MERA"cup kahti thi..
ladti thi agar main usmein kabhi peena chahta tha
kal us cup ko...
saalon baad...
main dhulna chahta tha..
wahan kuch gard jama ho gayi thi..
aur tumhari ungliyon ke nishan..
dhundhle pad rahe the..

..............dhote waqt
cup ke "othon"ke paas ki
cheeni mitti dhasak gayi..
JAANTI HO..................................US DIN
jab tumne isi pyale mein chai lee thi
tumhare hisaab se chai thandi ho chuki thi
aur jaise hi tumne onth lagaye...
wo "jal" ke laal ho gaye the...
maine tab tumse darte hue poocha tha
jaanta tha..
tumhe apni kamzoriyan batana achcha nahi lagta...
................................aaj kis rang ki lipistic lagayi
AUR TUMNE KAHA THA..
"onth"ke rang se "tanik gahre rang ki".........
aaj jab pyale ka ''onth"toota..
to wahan usi "tanik gahre rang ka"
NISHAAN mila..
...........jo bahut dhone ke baad bhi..
tumhari chai ke toote onth waale pyale pe "ankit"hai...

....Shaayad Wo Tumara Ho………

v

Thursday, July 3, 2008

SAB MURDA HAIN APNE JANAZON MEIN..


.................................SAB MURDA HAIN APNE JANAZON MEIN....

kuch khilte hain kuch khilkhilatein hain
kuch bebat daude chale jaate hain...
dakiyanoos,mauka-parast,shubh-chintak.......

fandon mein kaid
salaidaar sweator....
buno kuch,kuch aur bunte chale jaate hain...
udhedo kuch,kuch aur udhede chale jaate hain
sab murda hain.....
apne janazon mein...

tum kaun ho?
tumhara wazood kya hai?
ek kasar abhi baaki hai...tumhari parwarish mein
zirah ki naubat pe laake chod diye gaye ho tum...
tumhe maaloom hai aune-paune kaise bajte hain
kaise zindgi mein "naukri ki" aur "nibhai jaati hai..
thaka ghoda chal sakta hai
par tum ek gilas paani le ke nahin pee sakte..
sab kuch yahan jhannatedaar hai
tamache ke siwa....
jo pade bhi...pade na bhi..
kya fark padta hai?....
kaun si usme aawaj baaki hai....
sab murda hai...
apne janazon mein....

DOPAHAR se hi kyon shuru hoti hai zindgi..
DOPAHAR pe hi kyon khatm hoti hai zindgi...
sab kuch dhoop mein hai....
to "tark"mein kyon nahi..
sab kuch "chaasni " mein hai to zaban pe kyon nahi...
chasme ka number umar ke padao pe thahar sakta hai
to chasme ka aadmi kyon nahi..
kyon naashte mein...
aaj bhi do anda,ek gilas doodh...aur dher saare tark mez pe aaake jama ho jaate hain.
kyon chaaku kaatne ke bajay...
godne ki majboori rota phirta hai...
lohar ne kya sachmuch hindustan se bhatthiyan ujad lin...
aur pesa badalkar kapda press karne laga.....
kyon "crease"itni "important" hai..
ki "salwatein" sirf "shaayari" aur "mazak" ke kaam aati hain...
.....................................................................................................................................................................
.............................kabhi tumne bistar pe bikhar ke dekha hai..
wahan ek aawaz pasri ho shaayad.................us "LADKI" ki.....
jise tum hakiqat mein BUS-STOP ke paas chod ke chale aaye ho..
jiske kaanon ke "tops".......aaj bhi tumhari peeth mein chubh jaate hon...
uski nail polish lage nakhoon ki tarah.............................
.......socho mat
...majboori ka naam mat do use..
....apne se alag kar do.....
....chaar kadam peeche duniya nahi hai..
....par chaar kadam aage duniya hai..
........................................tatolo...............................................................

kya bewkoofi hai.......
itni choti si cheez ka andaaza nahi laga sakte...
aadmi ho ya......
MAIN TUMSE ZIRAH MEIN NAHI PADNA CHAHTI.....
pehle bhi kaha hai...
tum sawal karte ho......
KYON karte ho....??
haan nahi hai jawab....
TUMHARI baaton ka....
jab tha tab tha....
PAST angrezi mein hota hai....HINDI mein nahi...
HINDI mein use DEEMAK kahte hai..
wo bunta nahi
udhedta hai...
aur tum wahi chahte ho...
khud ko bhi udhedna............................AUR MUJHE BHI
MERI POORI ZINDGI KA SAWAL HAI>>>>>>
tumhari na bhi ho........??
tum to WO banna chahte the...?
tum to WO karna chahte the...?
par maine tumse aisa kabhi nahi kaha...
MAIN TO GUJAR rahi thi...
socha tumhe bhi saath le lun...
KAHAN pata tha?
DHAARIWAL KI kampaniyan
wahan aaj bhi woon(WOOL) banati hai....
...........................................................................................................................................................................
.......................................................... tumhari photo dekhi...
kisne khichi hai?
maine to nahi..!
koi apni kheech bhi sakta hai kya?
kyon?..,kyon nahi?....
bina camere ke to kheech sakta hai na?
tumhe aisa kyon lagta hai..
ek "adad camera" zindgi ko" wo" de sakta hai
JO MAIN TUMHE NAHI>>>
kyonki insaan hona tumhari ..mazboori hai meri nahi...
tum kahna kya chahte ho?
kuch nahi!
par tumne abhi kuch kaha hai?
tumhare liye nahi kaha!
phir kiske liye...?
.....jo mujhe sunne ke liye baadhya hain
kaun hain wo log main bhi to jaanun..
mujhko dekha hai...bas!
aise hi kuch aur log....tumhare jaanne se kya?
aante ke parthan ki tarah....wazood ko thaali mein liye..
" apni maa-apni bahan...."
ho gaya
de di gaali
maine to nahi di....
tumne sikhayi thi mujhe...!
us din
........................................................................................................................................................................
....US DIN JAB TUM TAAR WALI KURSHI PE BAITHE KUCH LIKH RAHE THE....
main tumhare paas aayi thi
tumhara kamra garm tha...
PANKHA tumhara bahana hai
tum A.c afford nahi kar sakte
poora hindustaan cooler mein sota hai..
aur tum ho ki
JUKAM ka bahana karte ho...
.......TUM MUJHE EK COOLER GIFT KAR DO......................................
main kyon kar doon...????
TUM meri gode mein thi...
us kursi pe jo plastic ke taaron se buni thi..
Machchar tumhare naak pe aaake baith gaya tha
cooler ki phoos se ud ke aaya hoga shaayad...
main hansa...
chalo..
cooler na sahi...yahan machchar to hai..
tumne naak sikodi..
main dar gaya..
par machchar nahi..
WO wahin baitha tha..
jab kabhi bhi tumne naak sikodi
main dar jaata tha..
tum kuch kah na do..
AUR main poora na kar paun
TUMHE AISA KYON LAGTA HAI MAIN TUMSE KUCH MANGOONGI>>
maangne ka dar nahi lagta
na de paane ka dar lagta hai
phir dar lagta hai
TUMNE AAJ TAK MUJHE CHODA KYON NAHI..
KYON??????AISA KYON LAGTA HAI....
.........................................................................................
.....................ladkiyan un logon ko chod deti hain..
tumhe kisne bataya ladkiyon ke baare mein?????
maine aisa suna hai...!!!!!!!
par maine to aaj tak tumhe nahi choda..
tum khilkhilayiii
aur machchar ud gaya
main khush tha
tum cooler ke bina rah logi...
RAH LOGI SE KYA MATLAB HAI TUMHARA?????????????????????????????????
aur tabhi..
neeche se plastik ke kuch taar toot gaye..
aur hum dono karibbb......
us DIN SE KYA MATLAB HAI TUMHARA????????????????????????????????????????
.....................................
.....................................................
............................................................tum sawal karte ho!!!!.............................................................
par tum zawab nahi deti..
mere paas waqt nahi hai!!!!!
tab tha...
MERE PAAS PATIENCE NAHI HAI...
tab tha....
MERE BHITAR TUMHARE LIYE WO JAGAH nahi hai...!!!!!
tab tha....
nahi kaha maine..
kahte-kahte ruka bhi nahi......
sirf”nahi kaha.”...............................................................


.......kursi ke saare taar udhde the
neeche ki taraf jhool rahe the..
MACHCHAR UDA.....chakkar kaat-ta raha....
har taraf phoos thi..
shaayad wo bhi confuse tha..
kahan baithe..kahan na baithe,,
cooler saalon se sookh gaya lagta hai
MAINE SOCHA AUR DEEWAR SE SATI PITH KO ALAG KAR LIYA
bilkul waise hee
jaise tumne kiya tha
saalon pah;le
mera ek saal se gujar nahi hota....mujhe saalon chahiya
cheezon ko bunne ke liye
udhedne ke liye....
peeth nangi thi
deewar ke choone ki ek parat..
pasine ke saath chipak gayi..
AISA LAGA PEETH KA APNA KOI WAZOOD HI NAHI THA...
..........................................................
wo deewar se jaani jaati hai
jaise tum cooler na hone ki wajah se mujhe janti ho
aisa mujhe lagta hai
JAANTI HO TUM....
USS DIN
JAB TUM US TOOTI BEINT KI KURSI MEIN...
meri gode mein baithi thi...
MUJHSE ZIRAH KAR RAHI THi...
meri kamiz khich gayi thi..
AUR GALE KE PAAS KI EK BATAN.....
darak gayi thi..
BATAN DHEELI THi
batan kamzor thi..
BATAN-BATAN THI..
............................................par mujhse achchi thi wo.............
wo jaanti thi
use andesha tha
TUMHARE CHALE JAANE KA....
............................................mujhe batan ke tootne ka malal nahi hai.....................
..................................
....................................
......................................................
........par uske tootne ke baad
WAHAN EK DHAAAGA LATKA PHIRTA HAI>>
us dhaage mein maine kai baar..
BOONDEIN latki dekhi hai.............
sookhi kamiz ke
tooti batan ke...
EK DHAAGE SE KOI BOOND KAISE LATAK SAKTI HAI??????????????
ek SAWAL hai
jo tumhare na chahte hue bhi..
aaj bhi har waqt dimag mein latka rahta hai
....aur wo machchar...ab har waqt..
..kamre mein chakkar kaat-ta rahta hai..
jab ki har jagah PHOOS bikhri padi hai..
.......
...................
..............................
......aur cooler ki aawajein pados ke saare gharon se nikalkar..
...dimag mein jama ho rahi hai..
...
....
.....................................SAB MURDA HAI APNE ZANAJON MEIN
haan kisi ko khabar hai..
to koi murda-parasht hai
apne khayalon mein...

HAAAAAN SAB MURDA HAIN APNE ZANAZON MEIN!!!!!!!!!!!!!