Sunday, March 28, 2010

Aaj awaargi mein kuch waqt bitane ka mann tha

Aaj awaargi mein kuch waqt bitane ka mann tha..
Tumhe paas bulaya
Tum aayi
Par khamosh rahi.

Kyon?
Maine nahi poocha!
Main awaargi mein mashgool raha..
Aur tum apne mein khamosh.

Waqt beeta..
Raahein budly..
Aur alag hoke lambi ho gayi..
Ab main khamosh rahne laga
Aur raahein awaargi mein mashgool.


Kahte hain..
Kuch din baad
Kai duniya ke log ikatthe huye
Uski Awaargi ko kandha dene ke liye..
Par raahon ki shikayat hai.
Ki tum mayyat mein sharik hone to aayi..par khamosh rahi.
##
‘Main tumhe pyar karta hun..’

Hey
Suno!
Agar bura mat maano..
To kahun
Main tumhe pyar karta hun.
*
Isharon mein nahi kah sakta
Khaton mein nahi likh sakta
Lafz saste sahi..
Aakhir mere hain
Aur ek lafz mein kahun
To main tumhe pyar karta hun.
*
Naaraz hoke kya karogi?
Aur khoobsurat lagogi.
Aankhein badi ho jayeingi
Aur naak chhoti.
Us titli ka kya hoga??
Jo tumhare gaal pe baithi hai..
gar use pata chal gaya..
ki main tumhe pyar karta hun!
*
Jab main mohabbat mein hota hun
Jeena nahi chahta
Marna jaruri to nahi…
Par aasaan lagta hai ..
Marr gaya gar agar
To shayad!
Tumhara shaq sahi nikle..
Ki main tumhe pyar karta hun.
*
Soch lo
Iss baar gar
Main zinda raha
Aur tum meri huyee!
Taaj-jub karegi kaaynaat saari..
Ki yeh awara,
Sach mein kahta tha.
Ki main tumhe pyar karta hun.

Wednesday, December 9, 2009

me,myself and i.Babri Masjid.20 years on....

DONNY LAMA's poem--
(bhai, this is my contribution to your blog... )


me,myself and i. Babri Masjid. 20 years on....

An Urge to Write, To Communicate.In Retrospect, Not Worth communicating!
To CREATE!
DISSEMINATE!
DISMANTLE !
DIRECT!!!
Juxtapose the SPOKEN and the SAID,Eyes flutter, meanings change.But Metaphors and Puns Indicate,"Its not YOU, that they hate"!!!But the THOUGHTS you Choose to ContemplateOn whats SPOKEN, from the MEANT.
And they call us "COMRADES" to make amends!

But pardon me, IFIn my Delirious State, I Accentuate,A THOUGHTA SPARK,A SUDDEN CRAVE
The urge to write, to communicate.




--

Thursday, October 22, 2009

‘’Magrib se Mashrik ki taraf jaate hue”

‘’Magrib se Mashrik ki taraf jaate hue”

-----Anshumanchaturvedi20@gmail.com

Ek simti huee jaban ke

Kuch lafz hain ye

Jinpe lagaam hatao

To door tak chalte chale jaate hain

Lagaam lagao

To ankahe udaas baithe rahte hain.

#

Iski chaasni meethi ho

To tinke ka Zakhm bhi

Zarron(bits) se nikal ke ….

Darakhton(trees) pe ja baithta hai

Aur agar chaasni feeki hai

To kaduahat

Zaaikon(taste) pe zaher boti hai

#

Yeh jabaan

Sirf zabaan nahi hai

Ek simti huee hasrat hai

Tum iske hunermand(master) ho

To duniya ke maalik ho..

Dilon pe raaj karo na

Unke tukdon ki baat kyon karte ho

#

Yeh tumhari jabaan hi thi

Jisne kal ek toofaan khada kar diya

Itna bada toofaan,

Jiske wapas jaane tak

Kai ghar ujad gaye

Zindgiyan tabaah huee

Kaarobaar thapp huey

Aur ek aankde mein

kuch machuaare aur Machliyan mare gaye.

#

Tumhari ek jabaan tab thi

Jab chup thi

Par uski khanak kaano mein thi

Tumhare bina kuch kahe

Kai filmein maine dekhi hain

Jahan chehre doosre the

Par aawaz tumhari thi

Har ek dhun pe

Har ek lafz pe

Tumhari jabaan ka jaayka

Tehra hua hai

Aur jehan mein zinda kiya

Unhe jas ka tas baitha hun

#

Ek Chhoti si fikr hai…

Jo khaye ja rahi hai.

Kal tumhare kuch lafzon ko maine

Mashrik(east) se Magrib(west) ki taraf jaate dekha hai

Wo ek simti huee jabaan ke wo lafz the

Jo lagaam ke,

wazood ko nahi maante hain.

Aur tum to jaante ho

Jo belagaam hote hain

Wo be-mijaz ho jaate hain.

Aur bemijazi

Jabaan ka nahi

Insaan ka taaruf(introduction) hai.

#

Kal tumhari simti jabaan ne

Tumse nahi

Mujhse aake kaha

Uske lafz abhi tak wapas nahi laute hain.

Use darr hai

Kahin koi khoon na kar dein!!!!

Raat thi.

Udaas thi.

Aur main iss baar

Ek lambe arse baad

Magrib se mashrik ki taraf wapas laut raha tha.

Mere paas khabar thi

Jo maine tumhari jabaan ko nahi di

Bina tumhari ijazat ke.

Jo ab main tumhe de raha hun.

sachmuch tumhare lafzon ne

Magrib ki tarf..

Katle-aam kiya hai.

#

Main jaanta hun

Tumhari simti jabaan ki tarah

Mera wazood bhi simta hua hai.

Ek darakht ke neeche

Adna sa insaan dikhta hun.

Par usi insaaniyat ke naate..

Bheegi aankhon se

Us kabr ko mitti de raha hun…

Jo tumhare lafzon ne

Beeti raat…

Magrib ki taraf khodi hai.

#

Main tumhari simti jabaan ka aaj bhi kaayal hun

Par afsos!!!!

Tumhare wo Lafz darinde the.

Saturday, July 25, 2009

tumhe maalum hai ANdy........

'''solely aur purely Anandana Kapoor ke liye'''........
Note---sirf tumhe bukhar se wapas laane ke liye


ek roshni
jo chaon-chaon chalti hai
is fikr mein
ki dhoop ki girahbaan ko kabhi kaskar thaam loon
aur poochu
tumhara mere wajood se kya lena hai?

main ek ladki hoon
kya itna hi kaafi nahi hai?
pehchaan badi hona
samasya bi hai aur zimmewari bhi..

waqt aankhon ke saamne naachta phirta hai
aur uski parchaai
chasme ke seese pe dhool chadhati hai
saalon beet jaate hain
un aankhon ko
us parchaai ko
seese pe chadhi us dhool ko bhi
aur tab ateet ki ek ungli
us dhool pe apna naam likhna chahti hai....
kahti hai dekho!
main ek wazood hoon
jiski tumhe ab jarurat hai..
ab nahi to tab padegi!
par tum use daanti nahi
bhagaati nahi
uspe chillati bhi nahi
tum sirf hans deti ho
aur chasme ke seese pe chadhi dhool jhad jaati hai.

waqt ki parchaai ab wahan nahi naachti
ateet ungliyon se wahan ab nahi likh paata.

tumhe maloom hai!
waqt
uski parchaai
uski dhool
ateet
aur main...
ek lambe samay se tumhari us hansi ke intezar mein hain.

Sunday, April 5, 2009

Parrot fish aur beeti raat.....Abbas Rizwi k liye

‘’Parrot fish aur beeti raat……………………………..’’


Pichli Raat mann Kuch ajeeb hua
Main akela hona chahta tha
Par nahi!
Main akela nahi ho saka..
Yaadein thi
Kuch Hum-shakl,Hum-umra aur Hum-raaz bhi
Jo Hum-shakl the
Wo naaraz the
Unke paas calculation thi
Main pichli baar unse kab mila tha
Kab unke saath chai pee thi
Aur kab pahli baar coffee
Aur aakhiri baar dinner kiya tha!
Kuch filmein saath dekhi thee
Kuch scenes hum dono ko pasand the
Kuch hum dono ko napasand
Aur kuch sirf use pasand the
Tab usne meri pasand ke baare mein nahi poocha tha!
usne bhi socha hoga
Hum-shakl hai
Isse kya poochna?
Iski kya pasand?
Maine aisa bilkul nahi socha tha
Maine kya socha tha?
Mujhe bhi yaad nahi
Siwai us chehre ke
Jo Hum-shakl tha!

Phir Hum-umra ki baari aayi..
Wahi mizaj
Aaj kal kisse chal raha hai?
Kya?
Taanka aur kya?
Main hansa..itna aasan hai!
Tum hans rahe ho?... usne toka
Mujhe khud yaad nahi..mera kisse chal raha hai
Phir bhi?..kitno se chal raha hai?...”saale”..usne gaali di
Main aur tej hansa
Hum-umra ne gaali di thi
Koi Hum-umra gaali deta hai..to achcha lagta hai
Phir bina mera jawab jaane
Usne bata diya
Meri to SHAADI ho rahi hai..
Maine nahi poocha kisse?
To usne khud kaha..
Ek ‘RICH’ aadmi se
Uske chehre pe khusi thi
Tabhi achanak kahin se aayee ek machhli ne saans li
Aur saari khushi us machhli ki saans mein jabt ho gayee
Ab machhli bhi khush thi
Use kahin se khushi udhar mili thi
Kya shaadiyan hamesha RICH ki hoti hai?
Tab aur kya?
Maine sawal nahi kiya tha..
Par HUM-UMRA ne jawab de diya
Machhli ne saans bahar chhod di thi
Ab wo utni khush nahi thi
Aisa kyon?
Yeh sawal maine nahi us machhli ne kiya tha..
Wahi jise khushi udhaar mili thi
Aur kya?
Jahan meri shaadi ho rahi hai wahan aquarium hai..
Unme Parrot fishes hain
Hazar ki ek milti hai
‘Surkh laal’ dulhan ki shaadi ke jode jaisi..
Baton ke beech..
Machhli bahut der se naak ke bal aquarium mein padi thi
Maine kaha ise kya hua?
Hum-Umra ne kaha ‘’mar gayi hogi’’
Maine kaha kaise?
Hum-Umra ne kaha kya fark padta hai?
Abhi phone karungi
Maine kaha phir kya hoga?
Fish-wala aayega
Tank saaf karega..
Aur in fishes ka?
Jo mar gayi..unhe commode pe daal ke flush kar dega.
Hum-umra ne aquarium ki motor ko
Fir se off-on kiya tha
Oxygen ke bulbule..
Aquarium mein bhaagne lag gaye the.
Par machhliyan mari thi
HUM-Umra ne kaha…
Rich se shaadi karne ka yahi faayda hai!
Ek mahine mein sirf fishes pe laakhon jaata hai..
Haan……maine itna bhar kaha
Aur tum!
Tum kabhi kisi ke liye serious hoge bhi..!
Main aquarium mein uth rahe bul-bule ko dekh raha tha
Bolo bhi!..Hum-umra ne mera haath jor se hilaya
Aur saare bulbule toot gaye
Laal-surkh jodon waali parrot fish
Satah pe mari tair rahi thi
‘Haan’..maine sir hilaya
Pahle pyar karna seekho!..HUM-UMRA serious thi
Maine kaha …main nikalta hun
Usne kaha agli baar milo to khush-khabri dena
Kis baat ki?
Maine pant ki jeb mein ungli daal li
Yahi ki tumhe kisi se pyar ho gaya hai…
Maine hansna chaha.
PARROT fish ne toka
Abhi mat hanso..
Mujhe mare abhi seconds huye hain..
Laal-surkh jode
Main kaanp raha tha
Bahar aaya
Jaade ka mausam
Kohra
Isse achcha to BOMBAY hai?
Mujhe thand bardaasht nahi hai
Cigarette jalai
Tumne kasam di thi…bujha di
Bachi RUM glass mein daali
Kal tumhara janm-din hai
Calendar mein saamne taarikh thi
RUM sink mein udel di.
Shaher ka temperature 0* c hai
Phir itna pashina kyon ho raha hai?
Mann hua abbas ko phone laga dun!
Shaayad wo kuchh bole aur main zinda bach jaun
Phir socha uski bhi to zindgi hai
Phir kai mahinon se hum touch mein nahi hai!
Shaayad number badal gaya ho?
Phir kai shaayad ikatthe ho gaye.
Sink ke pipe mein kuchh phans gaya tha..
Isliye besin paani se bhar gaya hai
Mann doob raha hai
Is baar nahi bachunga
Laal
Surkh
Parrot fish
Aquarium
Laal
Parrot
Surkh
Mujhe aazad kar do..
Chillata hun
Mujhe aazad kar do
Cheenkh mein itne aansoo lipat gaye..
Ki aawaz bhar gayi.

Sink ka paani bed ke neeche aa gaya hai
Kitni saari..
Parrot fishes
Sab mari
Naak ke bal paani mein tair rahi hai
Calendar fadfadata hai
Taarikhe jhadti hain..
Darr se aankhe band hain meri
Aur thand se kaano mein dher saari barf jamaho gayi hai
Jise koi aahista-aahista wahan se hata hai
Pighalta hua paani
Garden pe rengta hua
“tupp”se kamre mein bhare paani mein girta hai
Jisme main khada hun
Thodi aur barf pighli to bahar se kisi ne aawaj di!!
Aahista se bahar aao ..
Main abhi bhi kaanp raha tha!
Daro mat
Mere rahte tumhe kuchh nahi hoga
Maine aankhein kholi
To aawaz gaayab ho gayi
“tumhe kuchh nahi hoga”’’aaj phir wo aayi aur kahke chali gayi..
YE HUM-Raaz ki aawaz thi
Main jaanta hun mujhe kuch nahi hoga.
Halki si dhoop nikal aayi hai
Aur palkon pe jami barf
Pighal ke boond ban rahi hai.
Phone ki ghanti bajti hai…
7 baje tak band-stand pahuch jaana
Saath mein coffee piyenge…phone kat gaya.
Aawaz jaani-pehchaani hai
Phir itna waqt kyon lag raha hai!
Aakshi ki hai…
Yaad aa gaya
Aage se nahi bhulunga.
Khud ko daantna padta hai
Cheezen yaad rakhne ke liye bhi
Aur tumhe bhoolne k liye bhi.
Tumhe kuch nahi hoga!
Aaj phir,ye,tum thi.

Parrot fish and life.................Abbas (Rizwi) ke liye..jisse na door jaata hun na paas aata hun.

‘’Parrot fish aur beeti raat……………………………..’’


Pichli Raat mann Kuch ajeeb hua
Main akela hona chahta tha
Par nahi!
Main akela nahi ho saka..
Yaadein thi
Kuch Hum-shakl,Hum-umra aur Hum-raaz bhi
Jo Hum-shakl the
Wo naaraz the
Unke paas calculation thi
Main pichli baar unse kab mila tha
Kab unke saath chai pee thi
Aur kab pahli baar coffee
Aur aakhiri baar dinner kiya tha!
Kuch filmein saath dekhi thee
Kuch scenes hum dono ko pasand the
Kuch hum dono ko napasand
Aur kuch sirf use pasand the
Tab usne meri pasand ke baare mein nahi poocha tha!
usne bhi socha hoga
Hum-shakl hai
Isse kya poochna?
Iski kya pasand?
Maine aisa bilkul nahi socha tha
Maine kya socha tha?
Mujhe bhi yaad nahi
Siwai us chehre ke
Jo Hum-shakl tha!

Phir Hum-umra ki baari aayi..
Wahi mizaj
Aaj kal kisse chal raha hai?
Kya?
Taanka aur kya?
Main hansa..itna aasan hai!
Tum hans rahe ho?... usne toka
Mujhe khud yaad nahi..mera kisse chal raha hai
Phir bhi?..kitno se chal raha hai?...”saale”..usne gaali di
Main aur tej hansa
Hum-umra ne gaali di thi
Koi Hum-umra gaali deta hai..to achcha lagta hai
Phir bina mera jawab jaane
Usne bata diya
Meri to SHAADI ho rahi hai..
Maine nahi poocha kisse?
To usne khud kaha..
Ek ‘RICH’ aadmi se
Uske chehre pe khusi thi
Tabhi achanak kahin se aayee ek machhli ne saans li
Aur saari khushi us machhli ki saans mein jabt ho gayee
Ab machhli bhi khush thi
Use kahin se khushi udhar mili thi
Kya shaadiyan hamesha RICH ki hoti hai?
Tab aur kya?
Maine sawal nahi kiya tha..
Par HUM-UMRA ne jawab de diya
Machhli ne saans bahar chhod di thi
Ab wo utni khush nahi thi
Aisa kyon?
Yeh sawal maine nahi us machhli ne kiya tha..
Wahi jise khushi udhaar mili thi
Aur kya?
Jahan meri shaadi ho rahi hai wahan aquarium hai..
Unme Parrot fishes hain
Hazar ki ek milti hai
‘Surkh laal’ dulhan ki shaadi ke jode jaisi..
Baton ke beech..
Machhli bahut der se naak ke bal aquarium mein padi thi
Maine kaha ise kya hua?
Hum-Umra ne kaha ‘’mar gayi hogi’’
Maine kaha kaise?
Hum-Umra ne kaha kya fark padta hai?
Abhi phone karungi
Maine kaha phir kya hoga?
Fish-wala aayega
Tank saaf karega..
Aur in fishes ka?
Jo mar gayi..unhe commode pe daal ke flush kar dega.
Hum-umra ne aquarium ki motor ko
Fir se off-on kiya tha
Oxygen ke bulbule..
Aquarium mein bhaagne lag gaye the.
Par machhliyan mari thi
HUM-Umra ne kaha…
Rich se shaadi karne ka yahi faayda hai!
Ek mahine mein sirf fishes pe laakhon jaata hai..
Haan……maine itna bhar kaha
Aur tum!
Tum kabhi kisi ke liye serious hoge bhi..!
Main aquarium mein uth rahe bul-bule ko dekh raha tha
Bolo bhi!..Hum-umra ne mera haath jor se hilaya
Aur saare bulbule toot gaye
Laal-surkh jodon waali parrot fish
Satah pe mari tair rahi thi
‘Haan’..maine sir hilaya
Pahle pyar karna seekho!..HUM-UMRA serious thi
Maine kaha …main nikalta hun
Usne kaha agli baar milo to khush-khabri dena
Kis baat ki?
Maine pant ki jeb mein ungli daal li
Yahi ki tumhe kisi se pyar ho gaya hai…
Maine hansna chaha.
PARROT fish ne toka
Abhi mat hanso..
Mujhe mare abhi seconds huye hain..
Laal-surkh jode
Main kaanp raha tha
Bahar aaya
Jaade ka mausam
Kohra
Isse achcha to BOMBAY hai?
Mujhe thand bardaasht nahi hai
Cigarette jalai
Tumne kasam di thi…bujha di
Bachi RUM glass mein daali
Kal tumhara janm-din hai
Calendar mein saamne taarikh thi
RUM sink mein udel di.
Shaher ka temperature 0* c hai
Phir itna pashina kyon ho raha hai?
Mann hua abbas ko phone laga dun!
Shaayad wo kuchh bole aur main zinda bach jaun
Phir socha uski bhi to zindgi hai
Phir kai mahinon se hum touch mein nahi hai!
Shaayad number badal gaya ho?
Phir kai shaayad ikatthe ho gaye.
Sink ke pipe mein kuchh phans gaya tha..
Isliye besin paani se bhar gaya hai
Mann doob raha hai
Is baar nahi bachunga
Laal
Surkh
Parrot fish
Aquarium
Laal
Parrot
Surkh
Mujhe aazad kar do..
Chillata hun
Mujhe aazad kar do
Cheenkh mein itne aansoo lipat gaye..
Ki aawaz bhar gayi.

Sink ka paani bed ke neeche aa gaya hai
Kitni saari..
Parrot fishes
Sab mari
Naak ke bal paani mein tair rahi hai
Calendar fadfadata hai
Taarikhe jhadti hain..
Darr se aankhe band hain meri
Aur thand se kaano mein dher saari barf jamaho gayi hai
Jise koi aahista-aahista wahan se hata hai
Pighalta hua paani
Garden pe rengta hua
“tupp”se kamre mein bhare paani mein girta hai
Jisme main khada hun
Thodi aur barf pighli to bahar se kisi ne aawaj di!!
Aahista se bahar aao ..
Main abhi bhi kaanp raha tha!
Daro mat
Mere rahte tumhe kuchh nahi hoga
Maine aankhein kholi
To aawaz gaayab ho gayi
“tumhe kuchh nahi hoga”’’aaj phir wo aayi aur kahke chali gayi..
YE HUM-Raaz ki aawaz thi
Main jaanta hun mujhe kuch nahi hoga.
Halki si dhoop nikal aayi hai
Aur palkon pe jami barf
Pighal ke boond ban rahi hai.
Phone ki ghanti bajti hai…
7 baje tak band-stand pahuch jaana
Saath mein coffee piyenge…phone kat gaya.
Aawaz jaani-pehchaani hai
Phir itna waqt kyon lag raha hai!
Aakshi ki hai…
Yaad aa gaya
Aage se nahi bhulunga.
Khud ko daantna padta hai
Cheezen yaad rakhne ke liye bhi
Aur tumhe bhoolne k liye bhi.
Tumhe kuch nahi hoga!
Aaj phir,ye,tum thi.

Saturday, January 10, 2009

HAPPY NEW YEAR...Jahan kahin bhi tum ho.

4 all those who luvd and lost…..

Wo bhi to ek naya saal tha….jo beet gaya.
Kitni taiyyariyon ke saath..
Josho-kharosh mein…
Main ye pahnoongi…
Tum kya pehnoge?
Achcha tum ye pahan lena!
tum ismein janchte ho.
Wo kyon nahi?
Maine kaha na wo tum pe achcha nahi lagta…
…wo mat pahan-na.
…aur agar tumhe wo pahan-na hai!
To mere saath bahar mat jaana.
Kyon?
Kyon kya?kaha na!mera kahna maan-na hoga tumhe mere saath jaane ke liye!

Main jaanta hun…
Tum mujhse kai guna sunder ho..
Aisa maine kab kaha’tum chhidhi”
Jo sunder hote hain unhe kahna nahi padta..
Phir!tumhare honth fadfadaye..
Unki naak pe titli baithi rahti hai…
Tum bhi na paaglon jaisi baatein karte ho!
Maine to tumse pahle hi din kah diya tha” ki main paagal hun.”
Theek hai baba!galti ho gayi..
Ek paagal se paala pad gaya bas!
Kya tumhe lagta hai ki hum ek rishte mein hain?
Kyon?nahi hain kya?
Nahi bas yun hi!
Tum sentence poora kar do, main naaraz nahi hoongi
Kal nukkad pe koi kah raha tha…
Rishte-rishte hote hain
Wo toot jaate hain.aur jo nahi toot-te!wo kya hote hain?
Tumne zid ki..
Nahi pata….itna kahke maine sar neecha kar liya.
Kyon?
Tumhe kaise nahi pata?
Nukkad pe ye bhi sun lete!

Jaanti ho!
Aaj saalon baad….
Usi din..
Maine hanger pe wo shirt tangi dekhi hai…
Tumhari favourite…
Jo maine us roz tumhari marzi se pahni thi
Main to zindgi bhar apni marzi chalaungi..
Soch lo!tumne kaha tha
Chalana…ismein sochna kya?
Nahi….tumhe bhi to saath rahna hai!
Soch lo…! tumne dobara kaha
Main tab chup-chaap collar ki button band kar raha tha.
Ai sar upar uthao….
Tumne meri baat ka jawab kyon nahi diya?
Tumne toka!

Aaj wardrobe ke hanger pe…
meri collar ki button pe
tumhara wo sawal baitha hai.
Tumhare naak pe baithi titli
Mere jawab ka wait kar rahi hai…
Par main sar neecha kiye baitha hoon…
Usi wardrobe ke saamne
Jismein tumhari favourite shirt tangi hai
Aur jahan tum!...mujhe chhod ke gayi thi.
HAPPY NEW YEAR.
…………………………….
JAHAN KAHI BHI TUM HO.