Sunday, April 5, 2009

Parrot fish aur beeti raat.....Abbas Rizwi k liye

‘’Parrot fish aur beeti raat……………………………..’’


Pichli Raat mann Kuch ajeeb hua
Main akela hona chahta tha
Par nahi!
Main akela nahi ho saka..
Yaadein thi
Kuch Hum-shakl,Hum-umra aur Hum-raaz bhi
Jo Hum-shakl the
Wo naaraz the
Unke paas calculation thi
Main pichli baar unse kab mila tha
Kab unke saath chai pee thi
Aur kab pahli baar coffee
Aur aakhiri baar dinner kiya tha!
Kuch filmein saath dekhi thee
Kuch scenes hum dono ko pasand the
Kuch hum dono ko napasand
Aur kuch sirf use pasand the
Tab usne meri pasand ke baare mein nahi poocha tha!
usne bhi socha hoga
Hum-shakl hai
Isse kya poochna?
Iski kya pasand?
Maine aisa bilkul nahi socha tha
Maine kya socha tha?
Mujhe bhi yaad nahi
Siwai us chehre ke
Jo Hum-shakl tha!

Phir Hum-umra ki baari aayi..
Wahi mizaj
Aaj kal kisse chal raha hai?
Kya?
Taanka aur kya?
Main hansa..itna aasan hai!
Tum hans rahe ho?... usne toka
Mujhe khud yaad nahi..mera kisse chal raha hai
Phir bhi?..kitno se chal raha hai?...”saale”..usne gaali di
Main aur tej hansa
Hum-umra ne gaali di thi
Koi Hum-umra gaali deta hai..to achcha lagta hai
Phir bina mera jawab jaane
Usne bata diya
Meri to SHAADI ho rahi hai..
Maine nahi poocha kisse?
To usne khud kaha..
Ek ‘RICH’ aadmi se
Uske chehre pe khusi thi
Tabhi achanak kahin se aayee ek machhli ne saans li
Aur saari khushi us machhli ki saans mein jabt ho gayee
Ab machhli bhi khush thi
Use kahin se khushi udhar mili thi
Kya shaadiyan hamesha RICH ki hoti hai?
Tab aur kya?
Maine sawal nahi kiya tha..
Par HUM-UMRA ne jawab de diya
Machhli ne saans bahar chhod di thi
Ab wo utni khush nahi thi
Aisa kyon?
Yeh sawal maine nahi us machhli ne kiya tha..
Wahi jise khushi udhaar mili thi
Aur kya?
Jahan meri shaadi ho rahi hai wahan aquarium hai..
Unme Parrot fishes hain
Hazar ki ek milti hai
‘Surkh laal’ dulhan ki shaadi ke jode jaisi..
Baton ke beech..
Machhli bahut der se naak ke bal aquarium mein padi thi
Maine kaha ise kya hua?
Hum-Umra ne kaha ‘’mar gayi hogi’’
Maine kaha kaise?
Hum-Umra ne kaha kya fark padta hai?
Abhi phone karungi
Maine kaha phir kya hoga?
Fish-wala aayega
Tank saaf karega..
Aur in fishes ka?
Jo mar gayi..unhe commode pe daal ke flush kar dega.
Hum-umra ne aquarium ki motor ko
Fir se off-on kiya tha
Oxygen ke bulbule..
Aquarium mein bhaagne lag gaye the.
Par machhliyan mari thi
HUM-Umra ne kaha…
Rich se shaadi karne ka yahi faayda hai!
Ek mahine mein sirf fishes pe laakhon jaata hai..
Haan……maine itna bhar kaha
Aur tum!
Tum kabhi kisi ke liye serious hoge bhi..!
Main aquarium mein uth rahe bul-bule ko dekh raha tha
Bolo bhi!..Hum-umra ne mera haath jor se hilaya
Aur saare bulbule toot gaye
Laal-surkh jodon waali parrot fish
Satah pe mari tair rahi thi
‘Haan’..maine sir hilaya
Pahle pyar karna seekho!..HUM-UMRA serious thi
Maine kaha …main nikalta hun
Usne kaha agli baar milo to khush-khabri dena
Kis baat ki?
Maine pant ki jeb mein ungli daal li
Yahi ki tumhe kisi se pyar ho gaya hai…
Maine hansna chaha.
PARROT fish ne toka
Abhi mat hanso..
Mujhe mare abhi seconds huye hain..
Laal-surkh jode
Main kaanp raha tha
Bahar aaya
Jaade ka mausam
Kohra
Isse achcha to BOMBAY hai?
Mujhe thand bardaasht nahi hai
Cigarette jalai
Tumne kasam di thi…bujha di
Bachi RUM glass mein daali
Kal tumhara janm-din hai
Calendar mein saamne taarikh thi
RUM sink mein udel di.
Shaher ka temperature 0* c hai
Phir itna pashina kyon ho raha hai?
Mann hua abbas ko phone laga dun!
Shaayad wo kuchh bole aur main zinda bach jaun
Phir socha uski bhi to zindgi hai
Phir kai mahinon se hum touch mein nahi hai!
Shaayad number badal gaya ho?
Phir kai shaayad ikatthe ho gaye.
Sink ke pipe mein kuchh phans gaya tha..
Isliye besin paani se bhar gaya hai
Mann doob raha hai
Is baar nahi bachunga
Laal
Surkh
Parrot fish
Aquarium
Laal
Parrot
Surkh
Mujhe aazad kar do..
Chillata hun
Mujhe aazad kar do
Cheenkh mein itne aansoo lipat gaye..
Ki aawaz bhar gayi.

Sink ka paani bed ke neeche aa gaya hai
Kitni saari..
Parrot fishes
Sab mari
Naak ke bal paani mein tair rahi hai
Calendar fadfadata hai
Taarikhe jhadti hain..
Darr se aankhe band hain meri
Aur thand se kaano mein dher saari barf jamaho gayi hai
Jise koi aahista-aahista wahan se hata hai
Pighalta hua paani
Garden pe rengta hua
“tupp”se kamre mein bhare paani mein girta hai
Jisme main khada hun
Thodi aur barf pighli to bahar se kisi ne aawaj di!!
Aahista se bahar aao ..
Main abhi bhi kaanp raha tha!
Daro mat
Mere rahte tumhe kuchh nahi hoga
Maine aankhein kholi
To aawaz gaayab ho gayi
“tumhe kuchh nahi hoga”’’aaj phir wo aayi aur kahke chali gayi..
YE HUM-Raaz ki aawaz thi
Main jaanta hun mujhe kuch nahi hoga.
Halki si dhoop nikal aayi hai
Aur palkon pe jami barf
Pighal ke boond ban rahi hai.
Phone ki ghanti bajti hai…
7 baje tak band-stand pahuch jaana
Saath mein coffee piyenge…phone kat gaya.
Aawaz jaani-pehchaani hai
Phir itna waqt kyon lag raha hai!
Aakshi ki hai…
Yaad aa gaya
Aage se nahi bhulunga.
Khud ko daantna padta hai
Cheezen yaad rakhne ke liye bhi
Aur tumhe bhoolne k liye bhi.
Tumhe kuch nahi hoga!
Aaj phir,ye,tum thi.

2 comments:

cinefare said...

anshuman good post
what job u do in mumbai
i think ur scriptwriter

aBsTrAcT nOtIoN said...

cinefare i want 2 thank u not bcz u liked my post but bcz u hav time n eye for art work.n yeah i'm a scriptwriter.tc