Thursday, July 31, 2008

...it's not done................................

wong-karwai aur jiang-wen ke liye.....

mere khauf hain
mere apne sapne....
khuli aankhon ke sapne nahi
balki band aankhon ke.

pasri hui raat ho
ya pasra hua din
kya fark padta hai?
sirf aankein band honee chahiye...
aur mauzu munasib ho
to zindgi khauf-jada ho jaati hai.

ek aisi duniya ka kaayal hun main
jo kahin nahi milti
tamam baar feri waalon se poocha hai
ai tum!kabhi us duniya mein koi saamaan bechne gaye ho?
aur sab apni tokariyan utha kar bhaag khade hote hain.


main sawal nahi karta
kyonki zindgi sawal ka kabhi mauka nahi deti
wo kaan kheechti hai
chhoti-chhoti galtiyon pe...
thappad maarti hai..
meri aana-kaniyon pe
aur tamam baar
mehmaano ke saamne mera mazak udati hai.

aur main saari platein
mej-posh par lagata rahta hun
chup-chaap...
aankhon mein do suiyan chubhti rahti hain
aur aksar kuch boondein khadi ho jaati hai
aise jaise unhe
wahan se nikalne ki jaldi ho.



kal yun hi
ghar ki buhar lagate waqt
ek boodhi aurat gujri saamne se
parde ka oat tha
par jheene parde se kya nahi dikh jaata hai
kai-kai zindgiyan
pardon ke peeche lagi rahti hain
ki aaj nahi to kal
parde ka oat zarur milega
khair wo aurat maniharan thi
un dinon ki uski umar
jab gharon mein daadiyan
bahuein banke aayee thin..
uske haathon mein chaandi ke tediya
pairon mein sher bhar wajan ke kade
gale mein hansuli
aur haathon mein?
kuch nahi
wo choodiyan bechti hai



meri taraf dekh ke muskurai
kaha ye
idhar kya kar raha hai?
main dar gaya
kaun ho tum?
mujhe nahi pahchana.!!!!
nahi..
maine teri bahu ko choodiyan pahnayee thi...
kab?
dariya ki umar se pahle
ek toofan aaya tha
agar tujhe yaaad ho..
us toofan ke aane se pahle.
maine kaha
tum pagal ho...
wo khilkhilayee
mat bol
teri bahu boli thi..
aaj bhi dariya jab bahti hai
to charwahe uske rone ki aawaj sunte hain

main dara nahi
maine daanta use
kis duniya ki baat kar rahi ho?
hamari...
dariya ...ke paar Toofan ke aane se pahle
tab main kahan tha?
tum kashti leke dariya ke paar gaye the
kya karne?
tab tum ZINDGIYON ka sauda karte the..

tumhari bahu ghar pe thi
wo haamla thi
aur main use choodiyan pahnaane aayi thi
tum tab bhi choodiyan pahnaati thi..
tum bhi to
tab se aaj-tak
zindgiyon ka sauda karte ho!
wo khilkhilayee
aur uski tokri mein rakhi saari choodiyan
rone lagee..

tum yahan mujhe darane aayee ho?
naa
tumhe aagah karne..
kis baat ka??..
yahi ki
kal teri bahu ne
kisi charwahe ki bhed(SHEEP)
gaayab kar dee
aur wo tab se roye jaa raha hai
to main kya karun
use jaake kaho
bhed wapas kar de
nahi to toofan phir se wapas aayega...
wo phir hansi..
aur tokri ki saari choodiyan rone lagi
main nahi jaaunga...
chahe kuch bhi ho jaaye
tujhe jaana padega
na gaya to
toofan aayega!
meri bala se...
tujhe phir dariya mein kashti utaarni padegi
zindgiyon ka shauda karne jaana padega
phir toofan ke baad ki duniya
jaisi ki taisi ho jaayegi
aur phir main teri haamla bahu ko choodiyan pahnaane aaungi.

main maare dar ke kaamp raha tha...
aisa kaise ho sakta hai
ye daayan hogi...wo boli
tum phir galti kar rahe ho...
abhi dariya mein ghaas ug aayee hai
wahan bilkul paani nahi hai
saare patthar
dariya ke kinare
kaagaz ki tarah udte rahte hain


aur kai baar
bhedon ki peeth par baith ke
unhe chhot pahuchate hain.
unse kaho
wo
wahan se utrein
ghaas pighalne waali hai
aur saari dariya
ghaas ke pighalte hee barf se dhak jaayegi


meri aankhon me suiyan chubhni shuri ho gayee
dhaage phir lambe ho gaye
usne kaha
keemat do
kis cheez ki?
teri bahu ne meri teen choodiyan tod dee thi

mere paas kuch bhi nahi hai
main gidgidaya
to teen zindgiyan de... kaise doon..?
mujhe nahi maloom
teri duniya
tere log
teri zindgi
mujhe keemat chahiye...!!!
maine kaha........mujhe wapas karegi?
usne kaha kya?
dariya!
uske pahle ka toofan
aur meri D............dddddddddd

wo khilkhilayeee
aur tokri mein rakhi saari choodiyan rone lagi...
usne kaha...
dariya mein ghaas pighalni shuru ho gayi...
ab phir toofan aayega...
.usne tokri kee kuch choodiyan khaa lee...
aur uske pairon ke neeche ki ghaas pighalni shuru ho gayi
wo doob gayi..
par choodiyon ke rone ki aawaj lagaataar badhti ja rahi hai.

....phone ki ghanti baji
haan.....
1-6 office mein meeting hai
aajka lunch cancle
main raat mein phone karungi
khaana kha lena
luv u
luv u 2

No comments: