Tuesday, July 29, 2008

...jab bahut der tak HIROSHIMA nahi aaya


jab bahut der tak HIROSHIMA nahi aaya
DR. ASHOK CHAKRADHAR aur TWO-B ke liye.......tumne meri aankhein cheen leeaur mujhse kahaudhar jaake khade ho jao jahan HIROSHIMA aane wala hai.main bahut der takek takusi raah pebina nigah ke khada thakyonki tumne kaha thaudhar jaake khade ho jaojahan HIROSHIMA aane wala hai.HIROSHIMA nahi aayegaek bachcha chillataseeti bajata nikal gaya.phir ek jawan aadmi apni cycle se pareshaan aadmiapni utri chain kochadhane ke baad bolaHIROSHIMA nahi aayegaaur phir ghanti bajata nikal gaya.phir ek ladki gujri shaayar thi woshaayad...gunguna rahi thigungunate hue boli HIROSHIMA nahi aayega.main pareshaan hairaanagar HIROSHIMA nahi aayato jaunga kahan.aankhein nahi hainapna shaher nahi haiapne log nahi hainaur tumne kaha thaudhar jaake khade ho jaojidhar HIROSHIMA aanewala hai.HIROSHIMA nahi aaya aur sadiyan beet gayeinlogon ne kahna shuru kiyatum bhi kiski baaton mein ulajh gayekisi ladki ki kya?achanak sannata cha gayakisi ladki ki kya?aawaj goonjti rahikaano tak daud ke aatiphir sarpat chali jaatikisi ladki ki kya?mujhe yaad aayeewo shaamshadiyon pahlejab aankhein cheenne ke baadtumne kaha tha udhar jaake khade ho jaojidhar HIROSHIMA aane wala hai.maine apne badan ko tatolajism ko pahchanne ki koshish kiwo wahi nahi thakuch bhi to nahi thasiwayeus ek ret(sand)ke teele kejo achanak tatolne se dhasak karbaaloo ki tarahbikhar gaya.tumne mujhse jhoot kyon bolaapne se alag kyon kiyaaankhein kyon cheeni merius raashte pe le jaake kyon khada kiyajo tumse door thaus raashte se door thajidhar se HIROSHIMA gujraaur tumhe leke chala gaya.duniya sahi thi apni jagahwo ladki ko kabhi pahchaan nahi saktius ladki ko jo jab-jab HIROSHIMA gujrato bina bataye uske saath chali gayi.ek aadmi ko baalu ke teele pe khada kar ke.haan HIROSHIMA sadiyon mein ek baar aata haiaur wo ladki uske saath bina bataye chali jaati hai.aur main us ladki se pyar karta hoon.
DR. ASHOK CHAKRADHAR aur TWO-B ke liye.......

tumne meri aankhein cheen lee
aur mujhse kaha
udhar jaake khade ho jao
jahan HIROSHIMA aane wala hai.

main bahut der tak
ek tak
usi raah pe
bina nigah ke
khada tha
kyonki tumne kaha tha
udhar jaake khade ho jao
jahan HIROSHIMA aane wala hai.

HIROSHIMA nahi aayega
ek bachcha chillata
seeti bajata
nikal gaya.

phir ek jawan aadmi
apni cycle se pareshaan aadmi
apni utri chain ko
chadhane ke baad bola
HIROSHIMA nahi aayega
aur phir ghanti bajata nikal gaya.

phir ek ladki gujri
shaayar thi wo
shaayad...
gunguna rahi thi
gungunate hue boli HIROSHIMA nahi aayega.

main pareshaan
hairaan
agar HIROSHIMA nahi aaya
to jaunga kahan.
aankhein nahi hain
apna shaher nahi hai
apne log nahi hain
aur tumne kaha tha
udhar jaake khade ho jao
jidhar HIROSHIMA aanewala hai.

HIROSHIMA nahi aaya aur sadiyan beet gayein
logon ne kahna shuru kiya
tum bhi kiski baaton mein ulajh gaye
kisi ladki ki kya?

achanak sannata cha gaya
kisi ladki ki kya?
aawaj goonjti rahi
kaano tak daud ke aati
phir sarpat chali jaati
kisi ladki ki kya?

mujhe yaad aayee
wo shaam
shadiyon pahle
jab aankhein cheenne ke baad
tumne kaha tha
udhar jaake khade ho jao
jidhar HIROSHIMA aane wala hai.

maine apne badan ko tatola
jism ko pahchanne ki koshish ki
wo wahi nahi tha
kuch bhi to nahi tha
siwaye
us ek ret(sand)
ke teele ke
jo achanak tatolne se dhasak kar
baaloo ki tarah
bikhar gaya.

tumne mujhse jhoot kyon bola
apne se alag kyon kiya
aankhein kyon cheeni meri
us raashte pe le jaake kyon khada kiya
jo tumse door tha
us raashte se door tha
jidhar se HIROSHIMA gujra
aur tumhe leke chala gaya.

duniya sahi thi apni jagah
wo ladki ko kabhi pahchaan nahi sakti
us ladki ko
jo jab-jab HIROSHIMA gujra
to bina bataye uske saath chali gayi.

ek aadmi ko baalu ke teele pe khada kar ke.
haan HIROSHIMA sadiyon mein ek baar aata hai
aur wo ladki uske saath bina bataye chali jaati hai.
aur main us ladki se pyar karta hoon.



No comments: