Wednesday, July 23, 2008

main wapas der se lauta.............


Rhythm ke liye…………….

Mai pichle kai saalon mein ghar nahi lauta
is dar se
ki baaju wale ghar ki chaukhat pe khada koi padosi
yeh na kah de
tumhara ghar kho gaya hai.

kya jawab doonga?
us padosi ko...
jo apne ghar ki chaukhat pe tabse khada hai..
jabse main apne ghar nahi lauta hun.

laaparwahi kahen ise
jisme hum kho jaate hain
ghar wapas nahi aate
ya laparwhi wo hoti hai
jisme hum bheetar hi bheetar
ghar tatolte rahte hain.

itne ghar,
itni deewarein
saari chatein apni uchaiyon ke bojh se dabi
khidkiyan dopahri mein besharm hawaon ke thapedon se unghti
aur jagane pe tilmilati
kiska ghar poochte ho
koi nahi rahta is naam ka yahan..
phir achanak aankh meenchte hue
haan ……udhar us gali mein jaakar dekh lo
jismein dheron madaar ug aayee hain.

shaayad mausam ke paas
us mausam ki aakhri kisht rahi ho
jiska kisi ne daam nahi lagaya
boliyan nahi chadhi
aur munasib jaankar
isi gali mein wo
apni redi/thela ulat kar bhaag gaya
yeh samajhkar
ki ,is khep ko sadna likha hai
jaahir hai
wahan duniya nahi thi
uske puchattar nahi the
wo jhola nahi tha
...jo sab taaja aur hara kharidta hai.

us gali mein jaane par
ek makan dikhta hai
jiske darwaje pe saankal aur aligarhi taala dikhta hai
par wo darwaja kabhi nahi dikhta
jo bheetar ki taraf khulta tha.

jab wo chhota tha
peet-ta tha us darwaje ko
chatpata tha agar us darwaje ko khulne mein der lagti
aaj ghanton ho gaye
bahar aake khade hue
par wo darwaja bheetar ki taraf nahi bahar ki taraf khulta hai.

wo jaanta hai
yeh usi ka ghar hai
par ye wahi darwaja nahi hai
ek paiir mein keechad sani hui chappal
aur haathon mein doosre paiir ki tooti hui chappal dekhkar
khilkhilata hua darwaja
aaj badbadata hai
aankhein kyon meechta hai
kyon aisa lagta hai
jahan chehra hota tha
aaj wahan jhurriyon ke neeche tahkhana hai
jo mujhe batana nahi
mujhse chhupana chahta hai

daudte-haanfte charon taraf se ghar ke kai chakkar lagata hun
us firangi ki tarah
jo maachis ki teeli mein
neebu ki pattiyan daal bhar dene se ban jaati thi
par wo darwaja kahin nahi milta.

mann poochta hai
kya baaju ke kabze us chatpatahat ko bhool gaye
ya phir shaayad wo itne boodhe ho gaye
wo gali ke madar ko kaatne ke liye hansiye ko nahi utha paaye..
aur aaaj jab wo lauta
to aadam- kad madaron ne
ghar ka raashta roondh diya tha.

wo nahi jaanta
ghar ka dum ghut raha tha
ya ghar ka dum ghut chuka tha
haan shaayad wapas aane mein bahut der kar di thi.








1 comment:

dipankar giri said...

behtareen prastuti....waakai lajawaab...ghar ki yaad dila di miyan