Thursday, July 31, 2008

sawalon ki marzi nahi hoti...........



aakshie aur 2b ke liye..........









aaj shaam kai duniya ke log ikatthe hue
achchi
aur alag baat yeh thi
ki sabki apni duniya thi.




koi kisi ki duniya mein nahi tha

kisi ke bharose nahi
koi saath nahi

aur ghanton koi baat nahi.

phir talkhi tooti
mujhe laga

abhi baat hogi
sab baat karenge
cheezen khulengi
koi apnapan layega
koi parayepan mein chutkiyan lega
phir hansi hogi

thatthe honge
aur ma
usam ka mizaz badlega.

aisa kuch bhi nahi hua..
pahle ne bolne se mana kiya

doosre ne nazrein milane se
teesre ne naak sikodi
chauthe ne bhauyein marodi

phir baaki ke sabne peeth dikha di.




maine socha
sabne aisa kyon kiya
kya unke paas kahne ko sachmuch kuch nahi tha?
aisa tha agar
to unke ishaare?
unke chehre ?
chup hone chahiye ..

sab to bol rahe the..
.siwaye
unke honton ke?

koi bada sawal nahi hai?
to koi bada jawab bhi nahi hoga shaayad?
zindgiyan beet jaati hain
aur hum ek-doosre ki taraf
peeth kiye baithe rahte hain
is intzaar mein ki abhi wo kuch poochega

aur hum uska jawab denge?



hum saalon tak chup rahte hain
saalon tak intzaar karte hain
ek mauke ki talash mein
jab hum apni marzi ka jawab denge....

sawalon ki marzi nahi hoti
sawal karne walon ki bhi marzi nahi hoti
wo be-marzi ke
bune jaate hain
pooche jaate hain
is tark ke saath
ki wo shaayad sawal hone ki keemat chuka rahe hain
ek prayschit....

gaddhe jaane ka..
bune jaane ka..
kuredne ka..
talashne ka.
.aur phir takleef dene ka!
sawalon ke ant mein ek takleef.


shaam mein saare log
aise kai sawalon ko bunte hue
ek doosre ki taraf peeth kiye
chup-chaap baithe rahe
is talash mein

ki sabki baari aayegi
sabke sawal aayeinge
aur phir
sabke jawab.
shaayad yahi wajah thi
aaj shaam koi kisi se kuch nahi bola
ye alag baat hai
aaj shaam kai duniya ke log ikathhe hue.

1 comment:

Akriti said...

"""doosri duniya ke logon se koi ummeed nhi......
par aksar mere logon ki duniya doosri ho jaati hai....
jinse kuch ummiden karna shayad mera haq hai aur ek insaan ki jarurat bhi....
aur mujhe afsos tab hota hai jab wo khud ko hi nhi pehchaan pate"""